habiib-e-KHudaa iftiKHaar-e-valii kaa
Interesting Fact
صندل بہ مناسبت عرس حضرت حافظ محمد علی خیرآبادی۔
habiib-e-KHudaa iftiKHaar-e-valii kaa
ye sandal hai haafiz mohammad 'alii kaa
maza dil ko miltaa hai tiir nigah kaa
jo chubhtaa hai kaa.nTaa ko.ii us galii kaa
tajallii se roze kii 'aalam hai raushan
mah-o-mehr zarra hai.n un kii galii kaa
idhar se jo niklaa vo jannat ko bhuulaa
'ajab martaba hai tumhaarii galii kaa
aazmaane pe apne na kyuu.n kar ho 'naazish'
ki hai chatar-e-sar saaya aise valii kaa
habiib-e-KHudaa iftiKHaar-e-valii kaa
ye sandal hai haafiz mohammad 'alii kaa
maza dil ko miltaa hai tiir nigah kaa
jo chubhtaa hai kaa.nTaa ko.ii us galii kaa
tajallii se roze kii 'aalam hai raushan
mah-o-mehr zarra hai.n un kii galii kaa
idhar se jo niklaa vo jannat ko bhuulaa
'ajab martaba hai tumhaarii galii kaa
aazmaane pe apne na kyuu.n kar ho 'naazish'
ki hai chatar-e-sar saaya aise valii kaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.