aaj Gaus-ul-varaa kaa sandal hai
aaj Gaus-ul-varaa kaa sandal hai
ibn-e-mushkil-kushaa kaa sandal hai
huur jannat se kyuu.n balaa.e.n na le.n
jaan kHair-ul-varaa kaa sandal hai
sar ke bal chaliye saath-saath us ke
KHalq ke rahnumaa kaa sandal hai
kyuu.n na ho har valii yahaa.n haazir
sayyadul-auliyaa kaa sandal hai
pa.Dhne aa.e.n na kyuu.n farishte duruud
nuur-e-kHair-ul-varaa kaa sandal hai
nuur se raah kyuu.n na ho pur-nuur
sham’-e-bazm-e-kHudaa kaa sandal hai
laa-takHaf yaa-muriid jis ne kahaa
ye usii baa-safaa kaa sandal hai
suufiyo saafiyo safaa-e-zuhuur
qudvatul-asfiyaa kaa sandal hai
nafii is baat me.n hai.n sab zaakir
zubdatul-auliyaa kaa sandal hai
naam se jis ke dil ta.Daptaa hai
aaj usii dil-rubaa kaa sandal hai
tuu bhii aa.nkho.n se saath chal 'shaa.eq'
tere hii peshvaa kaa sandal hai
aaj Gaus-ul-varaa kaa sandal hai
ibn-e-mushkil-kushaa kaa sandal hai
huur jannat se kyuu.n balaa.e.n na le.n
jaan kHair-ul-varaa kaa sandal hai
sar ke bal chaliye saath-saath us ke
KHalq ke rahnumaa kaa sandal hai
kyuu.n na ho har valii yahaa.n haazir
sayyadul-auliyaa kaa sandal hai
pa.Dhne aa.e.n na kyuu.n farishte duruud
nuur-e-kHair-ul-varaa kaa sandal hai
nuur se raah kyuu.n na ho pur-nuur
sham’-e-bazm-e-kHudaa kaa sandal hai
laa-takHaf yaa-muriid jis ne kahaa
ye usii baa-safaa kaa sandal hai
suufiyo saafiyo safaa-e-zuhuur
qudvatul-asfiyaa kaa sandal hai
nafii is baat me.n hai.n sab zaakir
zubdatul-auliyaa kaa sandal hai
naam se jis ke dil ta.Daptaa hai
aaj usii dil-rubaa kaa sandal hai
tuu bhii aa.nkho.n se saath chal 'shaa.eq'
tere hii peshvaa kaa sandal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.