sandal liye aataa hai vo mastaana kisii kaa

kuchh aur hii mastii me.n hai mastaana kisii kaa
piitaa hai ko.ii jaam ko.ii KHum ko.ii shiisha
ai baada-kasho khul gayaa mai-KHaana kisii kaa
masto ko.ii daaman to ko.ii god ko bhar le
taqsiim yahaa.n hotaa hai nazraana kisii kaa
sab paate hai.n is dar se davaa-e-dil-e-biimaar
sab ke liye jaarii hai shifaa-KHaana kisii kaa
'aalam pe hai chhaa.ii hu.ii rahmat kii ghaTaa.e.n
aaj aur hii ’aalam me.n hai mastaana kisii kaa
'irfaan ke 'aalam pe hai chhaa.e hue dil
maKHmuur fazaa.o.n me.n hai mastaana kisii kaa
kahtaa hai ko.ii haalat-e-dil dil se ‘saliimii’
suntaa hai ko.ii Gaur se afsaana kisii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.