suufii-e-zii-jaah ke darbaar kaa sandal uThaa

dhuum se lo chisht ke sardaar kaa sandal uThaa
jis ke dam se hai bahaaro.n par riyaaz-e-umaganii
diin-daaro us gul-e-zaar kaa sandal uThaa
jeb-o-daaman kyuu.n na bhar jaa.e.n dur-e-maqsuud se
suufii ke darbaar-e-gauhar-baar kaa sandal uThaa
sar ke bal haazir hai.n arbaab-e-’aqiidat dekhiye
be-kaso.n ke muunis-o-Gam-KHvaar kaa sandal uTThaa
kyuu.n nazar aa.e na be-had majm’-e-piiraan-e-chisht
hai habiib-e-paak ke darbaar kaa sandal uThaa
mach rahii hai umaganii ke har galii kuucha me.n dhuum
’aarif-e-haq-shaah KHush-atvaar kaa sandal uThaa
ai 'tajammul' jo ki sarv-e-bostaan-e-faKHr hai
dhuum se us ’aashiq-e-Gaffaar kaa sandal uThaa

- Book : Riyaz-e-Sufi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.