ai duulhaa miyaa.n KHaana-aabaadii mubaarak ho
ai duulhaa miyaa.n KHaana-aabaadii mubaarak ho
ye sehraa mubaarak ho ye shaadii mubaarak ho
ammaa.n kii tamannaa thii
beTe kii KHushii dekhe.n
sehre kaa samaa.n dekhe.n
shaadii kii gha.Dii dekhe.n
armaan thaa baabaa kaa
is ghar me.n dulhan aa.e
phuulo.n kii mahak le kar
ik rashk-e-chaman aa.e
har ek muraad un kii
taqdiir se bar aa.ii
nau-shaah par sadqe hai.n
maa.n baap bahan bhaa.ii
shahzaade ko sapno.n kii shahzaadii mubaarak ho
ye sehraa mubaarak ho ye shaadii mubaarak ho
ham ne to kabhii aisii baaraat nahii.n dekhii
ye dhuum nahii.n dekhii ye baat nahii.n dekhii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.