kyaa KHuub ye mahfil hai
kyaa KHuub ye mahfil hai
masruur har ik dal hai
duulhaa ne dulhan paa.ii
suuraj ne kiran paa.ii
ab shaad rahe.n dono.n
aabaad rahe.n dono.n
maa.n baap ko pyaar aayaa
apno.n ko qaraar aayaa
dekho to muqaddar ne
kyaa rishta milaayaa hai
is mauqa' pe ai 'anvar'
jaanii ne ye gaayaa hai
naushaah ko is ghar kii daamaadii mubaarak ho
ye sehraa mubaarak ho ye shaadii mubaarak ho
kyaa KHuub ye mahfil hai
masruur har ik dal hai
duulhaa ne dulhan paa.ii
suuraj ne kiran paa.ii
ab shaad rahe.n dono.n
aabaad rahe.n dono.n
maa.n baap ko pyaar aayaa
apno.n ko qaraar aayaa
dekho to muqaddar ne
kyaa rishta milaayaa hai
is mauqa' pe ai 'anvar'
jaanii ne ye gaayaa hai
naushaah ko is ghar kii daamaadii mubaarak ho
ye sehraa mubaarak ho ye shaadii mubaarak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.