naushaah dildaar tere sadqe jaa.uu.n
naushaah dildaar tere sadqe jaa.uu.n
kahte hai.n rishta-daar tere sadqe jaa۔uu.n
pyaar ke dhaage phuul kaa sahraa
sehre me.n chamke duulhaa kaa chehraa
maa.n ne dulhan kii tohfa paayaa
beTii de kar beTaa paayaa
ai jaan-e-bahaar tere sadqe jaa.uu.n
allah-allaah duulhaa ke saathii
chaa.nd hai duulhaa taare baraatii
ruKH pe jo sehraa lahraataa hai
bhaa.ii bahan ko pyaar aataa hai
tuu hai pyaarii pyaar tere sadqe jaa.uu.n
nausha ke sar pe sehraa sajaa hai
armaano.n kaa phuul khilaa hai
dost aur pyaare 'aziiz fidaa hai.n
sehre pe saare 'aziiz fidaa hai.n
kahte hai.n sau sau chaar tere sadqe jaa.uu.n
dil me.n du'aa aamiin hai lab par
haath uThaa kar kahte hai.n 'anvar'
duulhaa dulhan taa-'umr KHudaa-yaa
shaad rahe.n duniyaa me.n hamesha
tuu hai paalanhaar tere sadqe jaa.uu.n
naushaah dildaar tere sadqe jaa.uu.n
kahte hai.n rishta-daar tere sadqe jaa۔uu.n
pyaar ke dhaage phuul kaa sahraa
sehre me.n chamke duulhaa kaa chehraa
maa.n ne dulhan kii tohfa paayaa
beTii de kar beTaa paayaa
ai jaan-e-bahaar tere sadqe jaa.uu.n
allah-allaah duulhaa ke saathii
chaa.nd hai duulhaa taare baraatii
ruKH pe jo sehraa lahraataa hai
bhaa.ii bahan ko pyaar aataa hai
tuu hai pyaarii pyaar tere sadqe jaa.uu.n
nausha ke sar pe sehraa sajaa hai
armaano.n kaa phuul khilaa hai
dost aur pyaare 'aziiz fidaa hai.n
sehre pe saare 'aziiz fidaa hai.n
kahte hai.n sau sau chaar tere sadqe jaa.uu.n
dil me.n du'aa aamiin hai lab par
haath uThaa kar kahte hai.n 'anvar'
duulhaa dulhan taa-'umr KHudaa-yaa
shaad rahe.n duniyaa me.n hamesha
tuu hai paalanhaar tere sadqe jaa.uu.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.