pa.Daa hai nausha ke ruKH par naqaab sehre kaa
pa.Daa hai nausha ke ruKH par naqaab sehre kaa
chhupaa hai abr me.n yaa aaftaab sehre kaa
hai.n phuul hamd ke na.at-e-rasuul kii kaliyaa.n
javaab hii nahii.n us laa-javaab sehre kaa
ye aaj tujh se javaa.n-baKHt ke hai sar pe ba.ndhaa
to aur ba.Dh gayaa husn-o-shabaab sehre kaa
duulhan hasīn hai to nausha bhii hasiin-o-jamiil
har ek phuul hu.aa kaamyaab sehre kaa
ye gu.ndhte hii sar-e-naushaah par ba.ndhaa 'bedam'
nasiib to ko.ii dekhe janaab sehre kaa

- Book : Diwan-e-Bedam Shah Warsi (Pg. 119 E-119)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Hindustani Book Depot. (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.