Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

baaG-e-jannat se banaa phuulo.n kaa behtar sehraa

Niyaz Wazirabadi

MORE BYNiyaz Wazirabadi

    Interesting Fact

    بر شادی سید امام علی شاہ ولد سید احمد علی شاہ (گجرات-پاکستان)

    baaG-e-jannat se banaa phuulo.n kaa behtar sehraa

    ho mubaarak ye miyaa.n duulhaa ke sar par sehraa

    motiyo.n kii hai 'ajab phuulo.n kii la.Diyo.n me.n bahaar

    go.ndaa maalin ne 'ajab KHuub munavvar sehraa

    sayyad-o-kHaas quraishii jo baraatii aa.e

    bole sab salli-'ala allaahu-akbar sehraa

    aaj sahiih aal-e-mohammad kii hai shaadii che 'ajab

    huure.n gaatii hai.n sabhii KHuld me.n mil kar sehraa

    ahl-e-gujraat bhii KHush ho.nge hai ummiid miyaa.n

    de.nge ab daad tere lafzo.n kii sun kar sehraa

    baiTh kar chau.nkiye chandan pe lagaayaa Gaaza

    pahan kar kesarii poshaak bandhaa sar sehraa

    hai qadr-daa.n agar duulhaa kaa vaalid ai 'niyaaz'

    degaa in.aam tujhe teraa ye sun kar sehraa

    Source :
    • Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 23)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now