Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ruKH par aate hii banaa arsh kaa taaraa sehraa

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    ruKH par aate hii banaa arsh kaa taaraa sehraa

    nuur allaah kaa allaah kaa saayaa sehraa

    aa.nkh kaa nuur hai yaa nuur-e-nazar kaa sehraa

    ban ke taa-hashr rahe baap kaa saayaa sehraa

    duur se ai nigah-e-shauq balaa.e.n le le

    kis adaa se hai naqaab-e-ruKH-e-zebaa sehraa

    zajr-o-madd ke liye ruKHsaar hai.n dono.n mah-o-mehr

    mauj hai silk-e-guhar husn kaa dariyaa sehraa

    lagii aa.nkhe.n hai.n hasiino.n kii idhar aa maalin

    KHuub tuu ne gul-e-nargis kaa banaayaa sehraa

    ruKH-e-nausha kii taraf kyuu.n na ba.Dhaa.e sau haath

    hai bahut sharbat-e-diidaar kaa pyaasaa sehraa

    chhe.Dne ko nigah-e-shauq kii bantaa hai hijaab

    ko.ii dekhe to zaraa shoKH hai kitnaa sehraa

    aaj phuulo.n kii tarah taaro.n kii hasrat niklii

    zau-fishaanii se banaa aqd-e-surayyaa sehraa

    tere chehre se ye ha.Tne kaa nahii.n ai naushaah

    rah gayaa ban ke tirii zulf kaa saayaa sehraa

    dekhne me.n ye qayaamat se sivaa hai do-haath

    abhii simTe to bane aa.nkh kaa taaraa sehraa

    hai.n har ik taar se sau taar-e-nazar vaabasta

    husn-e-taz.ii.n se banaa aaj tamaashaa sehraa

    pur-KHumaar aa.nkh kaa naushaah ke nazzaara ho

    sub.h hote dar-e-mai-KHaana kare vaa sehraa

    le balaa.e.n ruKH-e-nausha kii ilaahii din-raat

    ban ke gesuu yuu.nhii lahraa.e KHudaayaa sehraa

    ek duzdiida-nazar ha.ns ke idhar bhii nausha

    aaj laayaa hai dikhaane na.ii duniyaa sehraa

    nausha kii mast nigaaho.n se na le kaam 'riyaaz'

    na ba.Dhaa.e asar-e-nashsha-e-sahabaa sehraa

    Source :
    • Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 574)
    • Author : Riyaz Khairabadi
    • Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now