taabish-e-ruu-e-munavvar se munavvar sehraa
nig.hat-e-zulf-e-mu.ambar se mu.ambar sehraa
shaan tarjiih kii maaduum hai in jalvo.n me.n
sehre se ruKH kii ziyaa ruKH se munavvar sehraa
ho gayaa paas-e-adab josh-e-masarrat me.n fanaa
varna kyuu.n hai tirii dastaar ke uupar sehraa
allaah allaah ajab shauq-e-qadam-bosii hai
paa.nv tak aayaa hai nausha ke laTak kar sehraa
baarvar shaaKH-e-mohabbat rahe daa.em baaham
nek saa.at me.n ba.ndhaa ho tire sar par sehraa
maujzan aaj hai dariyaa-e-masarrat 'maikash'
is liye laa.e hai.n kashtii me.n lagaa kar sehraa

Source :
- Book : Maikada (Pg. 42)
- Author : Maikash Akbarabadi
-
Publication : Agra Akhbar, Agra
(1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.