haath joḌ maiñ khaḌā huā huuñ sharan aap kī paḌā huā huuñ
sabhī tarah se jhaḌā huā huuñ nahīñ bantā hai kuchh kaam
maiñ matimand muuDh agyānī gati aap kī jaaye nā jaanī
sun lo merī raam kahānī tumhāre bin sartā nā kaam
maayā moh manhiñ bharmāveñ kāmdev bas meñ nā aave
binā tumhāre kaun bachāve bisro mat avchal raam
duniyā daulat tum ho saarī tum ho mere muul pasārī
dayā kaaro parbhu diin hitkārī sudh lo merī āThoñ yaam
premrūp meñ tum hī aay svāmī avgatdās kahā.e
‘achaldās’ ko sharan nibhāo do parbhu apnā naam
hath joD main khaDa hua hun sharan aap ki paDa hua hun
sabhi tarah se jhaDa hua hun nahin banta hai kuchh kaam
main matimand muDh agyani gati aap ki jaye na jaani
sun lo meri ram kahani tumhaare bin sarta na kaam
maya moh manhin bharmawen kaamdew bas mein na aawe
bina tumhaare kaun bachawe bisro mat awchal ram
duniya daulat tum ho sari tum ho mere mul pasari
daya karo parbhu din hitkari sudh lo meri aaThon yam
premrup mein tum hi aay swami awgatdas kahae
‘achaldas’ ko sharan nibhao do parbhu apna nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.