dayā karo dīnānāth
maiñ sharnāgat thārā ho
paapī patiti bhī hote aay sab ke kaaj sudharte aaye
jo jī thāre dvāre aay kiyā unkā nistārā ho
maiñ bhī to paapī patiti khaḌā kyuuñ nā aap kī najar paḌā
aisā kyā bodā karm aḌā dayā kaaro kartārā ho
bandī chhoḌ abhai avināshī kaaTo janm maran kī phāñsī
sāhab kabīr aaye the kāshī dukhī dekh sansārā ho
shanshaya shok ko Tāran haare dīnoñ ke tum rakhvārā ho
maiñ mūrakh huuñ thāre sahāre jhūThā kuTumb parivārā ho
ghīsā sāheb paar lagāo uljhī huī aa suljhāo
'achaldās' kī aan bachāo naav paḌī majhdhārā ho
daya karo dinanath
main sharnagat thaara ho
papi patiti bhi hote aay sab ke kaj sudharte aaye
jo ji thaare dware aay kiya unka nistara ho
main bhi to papi patiti khaDa kyun na aap ki najar paDa
aisa kya boda karm aDa daya karo kartara ho
bandi chhoD abhai awinashi kaTo janm maran ki phansi
sahab kabir aaye the kashi dukhi dekh sansara ho
shanshaya shok ko Taran haare dinon ke tum rakhwara ho
main murakh hun thaare sahaare jhuTha kuTumb pariwara ho
ghisa saheb par lagao uljhi hui aa suljhao
'achaldas' ki aan bachao naw paDi majhdhaara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.