Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

duja nahin bigona aap samajh le tu bhai

Avagatdas

duja nahin bigona aap samajh le tu bhai

Avagatdas

MORE BYAvagatdas

    duujā nahīñ bigonā aap samajh le bhaa.ī

    augunkār butī jo hotī gun sūjhte hai nahīñ

    tere dosh duuje meñ māpeñ ye terī mūrkhtā.ī

    jo koī baat batāo jaisī samajh meñ aa.ī

    va.ad vivād jhagḌe ko tyāgī ho jaagī roshnā.ī

    tere dushman tujhmeñ rahte kaam krodh lalchā.ī

    jo inkī jiitā chāhe taj de maan baDā.ī

    prārabdh bhog samajh le burā bhalā kahe jaa.ī

    ismeñ harsh shok mat maane satguru rahe samjhā.ī

    tan man vaanī ek banā le satguru kare sahā.ī

    tark farq vrtti meñ rākhe degā gird milā.ī

    burī bhalī bāhar bhītar sab jaanī raghurā.ī

    laakh jatan kar vo nahīñ chhiptī detī prakaT dikhā.ī

    sant 'dhotrām' guru mile puure aisī galī lakhā.ī

    yogānd samajh ke ghālo nahīñ leñge yam Thakurā.ī

    duja nahin bigona aap samajh le tu bhai

    augunkar buti jo hoti gun sujhte hai nahin

    tere dosh duje mein mapen ye teri murkhtai

    jo koi baat batao jaisi samajh mein aai

    wad wiwad jhagDe ko tyagi ho jagi roshnai

    tere dushman tujhmen rahte kaam krodh lalchai

    jo tu inki jita chahe taj de man baDai

    prarabdh ka bhog samajh le bura bhala kahe jai

    ismen harsh shok mat mane satguru rahe samjhai

    tan man wani ek bana le satguru kare sahai

    tark farq wrtti mein rakhe dega gird milai

    buri bhali bahar bhitar ki sab jaani raghurai

    lakh jatan kar wo nahin chhipti deti prakaT dikhai

    sant 'dhotram' guru mile pure aisi gali lakhai

    yogand samajh ke ghaalo nahin lenge yam Thakurai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now