updesh - man tum chhoDhu sakal udasi
man tum chhoḌhu sakal udāsī
raam ko naam thīrth ghaT hī meñ dil dvārikā au kaayā kaasī
karte jag apne kar bāñdho tirgun Dori kī phāñsī
bhinn bhinn nij gun bartāvahiñ kaahū kai kachhu na sirāsī
tehi teñ kanak kāmanī ārūjho hari soñ sadā nirāsī
āñtai nain saravan āñtai hai sarnā āñtai sāñsī
barham sarūp anuup bhuup bar sobhā sukh ke raasī
keval aatam raam birājat parmātam abināsī
aparampār akhandit baanī akath katho nahi jaasī
so parbhāb pargaT satsañgati jog jogat abhyāsī
satgurū gyaan baan jehiñ maryo lagī maram ur gāñsī
ghāyal gharumit ulaTi gayoñ ttoñ chetan udit parkāsī
jag samudr naukā nar dehī kanihar gurū bisvāsī
amrit hari ko naam sajīvan chākhat chhaki na aghāsī
bed bedāñt sant mukh bhākhhiñ dhanya jo naam upāsī
man kram bachan ju hari rañg raate taje jagat uphāñsī
jo ekai byāpak aatam tau ko Thākur ko daasī
barham svarūp hai sāhab sevak diby drishTi hai ḳhāsī
alakh raam ko lakhai soī jan jo bhram bhīti ko Dhāsī
soi jogī jogesur byānī jā kī rahni akāsī
hari soñ prīti nirantar din din chūTi bhūkh pyāsī
surti milī avloki nirti mañh kañh aave kañh jaasī
tayāgi sakal parpanch bishai hari taahi milai anyāsī
nirmohī nirbān niranjan nirammtā sanyāsī
mohan bhog sekh lae baiTho sunn meñ aasan Daasī
'bhīkhā' pāvat magan rain din TāTak hot na baasī
man tum chhoDhu sakal udasi
ram ko nam thirth ghaT hi mein dil dwarika au kaya kasi
karte jag apne kar bandho tirgun Dori ki phansi
bhinn bhinn nij gun bartawahin kahu kai kachhu na sirasi
tehi ten kanak kaamani aarujho hari son sada nirasi
aantai nain sarawan aantai hai sarna aantai sansi
barham sarup anup bhup bar sobha sukh ke rasi
kewal aatam ram birajat parmatam abinasi
aparampar akhandit bani akath katho nahi jasi
so parbhab pargaT satsangati jog jogat abhyasi
satguru gyan ban jehin maryo lagi maram ur gansi
ghayal gharumit ulaTi gayon tton chetan udit parkasi
jag samudr nauka nar dehi kanihar guru biswasi
amrit hari ko nam sajiwan chaakhat chhaki na aghasi
bed bedant sant mukh bhakhhin dhanya jo nam upasi
man kram bachan ju hari rang raate taje jagat uphansi
jo ekai byapak aatam tau ko Thakur ko dasi
barham swarup hai sahab sewak diby drishTi hai KHasi
alakh ram ko lakhai soi jan jo bhram bhiti ko Dhasi
soi jogi jogesur byani ja ki rahni akasi
hari son priti nirantar din din chuTi bhukh pyasi
surti mili awloki nirti manh kanh aawe kanh jasi
tayagi sakal parpanch bishai hari tahi milai anyasi
nirmohi nirban niranjan nirammta sanyasi
mohan bhog sekh lae baiTho sunn mein aasan Dasi
'bhikha' pawat magan rain din TaTak hot na basi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.