Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai hari mit baDe tum raja

Bhikha Saheb

ai hari mit baDe tum raja

Bhikha Saheb

MORE BYBhikha Saheb

    e hari miit baḌe tum raaja

    byāpak jahāñ tahāñ tumhre hukum binā kahuñ sare na kaajā

    tirgun suuba mauj banāyā bhinn bhinn kañh fauj rakhāyā

    hay gay rath sukhpās bahutā maaya baḌhī krai ko kuutā

    kahat banai nahi ankhaḌ saajā e hari miit baḌe tum raaja

    chāro disā kanāt gaḌā hai asmān tambū min chob khaḌā hai

    paanī agini pavan hai pāyak jo kachhu kaam so karibe lāyaq

    anhad Dhol damāma baajā ai hari miit baḌe tum raaja

    tārāgun paidal samudā.ī agiya le jahñ tahñ chali jaa.ī

    chāñd suur nis bāsar aa.ī aavat jaat masāl dikhā.ī

    dhurv kiyo thiir achal man dhājā ai hari miit tum baḌe raaja

    sahjādā hai man budhi kaalā kīnhev sakal jagat paimālā

    kaal baḌā umrāv hai bhārī Dare sakal jahñ lag tan dhārī

    tumhāro danD sakal sir taajā e miit tum baḌe raaja

    satt satogun mantar driḌhtā gyaan aadi de puttr bulāvā

    amal karhu tum jag meñ jaa.ī pherhu keval raam dohā.ī

    naam partāp prkās ko chhājā ai hari miit baḌe tum raaja

    chaturañginī ujjas dal dekhā jog birāg bichār ko lekhā

    chhimā seel santosh ko bhaa.ū parmārth svārth nahi chaa.ū

    svārth rat par pārhu gaajā e hari baḌe tum raaja

    raj gun tam gun kīnhyo mela sabhīñ bhayo sato gun chelā

    ham tum aa.i kachhū nahi kīnhā agiya iis siis par līnhā

    marat bahut Dar aapu laajā ai hari miit baḌe tum raaja

    paThyau kaam krodh mad lobhā jāteñ kīnah sakal man chhobhā

    keval naam bhajai so bāchai nahi tau aur sakal man kāchai

    'bhīkhā' tum bin kaun nivājā ai hari miit baḌe tum raaja

    e hari mit baDe tum raja

    byapak jahan tahan tumhre hukum bina kahun sare na kaja

    tirgun suba mauj banaya bhinn bhinn kanh fauj rakhaya

    hay gay rath sukhpas bahuta maya baDhi krai ko kuta

    kahat banai nahi ankhaD saja e hari mit baDe tum raja

    chaaro disa kanat gaDa hai asman tambu min chob khaDa hai

    pani agini pawan hai payak jo kachhu kaam so karibe layaq

    anhad Dhol damama baja ai hari mit baDe tum raja

    taragun paidal samudai agiya le jahn tahn chali jai

    chand sur nis basar aai aawat jat masal dikhai

    dhurw kiyo thir achal man dhaja ai hari mit tum baDe raja

    sahjada hai man budhi kala kinhew sakal jagat paimala

    kal baDa umraw hai bhaari Dare sakal jahn lag tan dhaari

    tumhaaro danD sakal sir taja e mit tum baDe raja

    satt satogun mantar driDhta gyan aadi de puttr bulawa

    amal karhu tum jag mein jai pherhu kewal ram dohai

    nam partap prkas ko chhaja ai hari mit baDe tum raja

    chaturangini ujjas dal dekha jog birag bichaar ko lekha

    chhima seel santosh ko bhau parmarth swarth nahi chau

    swarth rat par parhu gaja e hari baDe tum raja

    raj gun tam gun kinhyo mela sabhin bhayo sato gun chela

    hum tum aai kachhu nahi kinha agiya is sis par linha

    marat bahut Dar aapu ki laja ai hari mit baDe tum raja

    paThyau kaam krodh mad lobha jaten kinah sakal man chhobha

    kewal nam bhajai so bachai nahi tau aur sakal man kachai

    'bhikha' tum bin kaun niwaja ai hari mit baDe tum raja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now