birah aur prem ka ang - mai mhanri hari na bujhi baat
maa.ī mhāñrī hari na būjhī baat
pinD meñ se parān paapī niks kyuuñ nahiñ jaat
rain añdherī birah gherī taara gināt nis jaat
le kaTārī kañTh chīrūñ karūñgī apghāt
paaT na gholyā mukhāñ na bolyā sāñjh lag parbhāt
abolnā meñ avadh biitī kaahe kī kuslāt
supn meñ harī daras dīnhoñ maiñ na jārāyo harī jaat
nain mhāñrā ughḌi aaya rahī man pachhtāt
aavrā aavrā hoai rahiyo re nahiñ aavrā kī baat
'mīrā' byākul birahnī re baal jiyo billāt
mai mhanri hari na bujhi baat
pinD mein se paran papi niks kyun nahin jat
rain andheri birah gheri tara ginat nis jat
le kaTari kanTh chirun karungi apghat
paT na gholya mukhan na bolya sanjh lag parbhat
abolna mein awadh biti kahe ki kuslat
supn mein hari daras dinhon main na jarayo hari jat
nain mhanra ughDi aaya rahi man pachhtat
aawra aawra hoai rahiyo re nahin aawra ki baat
'mira' byakul birahni re baal jiyo billat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.