chetawani ka ang - bhaj man charan kanwal abinasi
bhaj man charan kañval abināsī
bhaj man charan kañval abināsī
jetā.i diise dharni gagan bich tetā.i sab u.Thi jaasī
kahā bhayo tīrath barat kīn.he kahā liye karvat kaasī
is dehī kā garb na karnā maaTī meñ mil jaasī
yo sansār chahar kī baajī sāñjh parḌiyāñ u.Thi jaasī
kahā bhayo hai bhagvā paharyāñ ghar taj bhay sanyāsī
jogī hoy jugti nahiñ jaanī ulTī janam phir aasī
arz kroñ ablā kar jore syaam tumhārī daasī
'mīrā' ke parbhū girdhar-nāgar kaaTo jam kī phāñsī
bhaj man charan kanwal abinasi
bhaj man charan kanwal abinasi
jetai dise dharni gagan bich tetai sab uThi jasi
kaha bhayo tirath barat kinhe kaha liye karwat kasi
is dehi ka garb na karna maTi mein mil jasi
yo sansar chahar ki baji sanjh parDiyan uThi jasi
kaha bhayo hai bhagwa paharyan ghar taj bhay sanyasi
jogi hoy jugti nahin jaani ulTi janam phir aasi
arz kron abla kar jore syam tumhaari dasi
'mira' ke parbhu girdhar-nagar kaTo jam ki phansi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.