prem ka ang - ab to afsos miTa dil ka dildar did mein aaya hai
prem ka ang - ab to afsos miTa dil ka dildar did mein aaya hai
Doolandas Ji
MORE BYDoolandas Ji
ab to afsos miTā dil kā dildār diid meñ aayā hai
santoñ kī sohbat meñ rahkar haq haadī ko sir naayā hai
updesh urg gahi satt naam soi ashT jaam dhunī laayā hai
murshid kī mehr huī yoñ kar mazbūt josh upjāyā hai
har vaqt tasavvur meñ sūrat mūrat andar jhalakāyā hai
bū-alī qalandar au farīd tabrez vahī mat gaayā hai
kar sidq sabūrī lāmakān allāh alakh darsāyā hai
lakhi jan 'dūlan' jagjīvan piir mahbūb mere man bhāyā hai
ḳhāvind ḳhaas gaibī hajūr vo dil andar meñ aayā hai
ab to afsos miTa dil ka dildar did mein aaya hai
santon ki sohbat mein rahkar haq hadi ko sir naya hai
updesh urg gahi satt nam soi ashT jam dhuni laya hai
murshid ki mehr hui yon kar mazbut josh upjaya hai
har waqt tasawwur mein surat murat andar jhalakaya hai
bu-ali qalandar au farid tabrez wahi mat gaya hai
kar sidq saburi lamakan allah alakh darsaya hai
lakhi jan 'dulan' jagjiwan pir mahbub mere man bhaya hai
KHawind KHas gaibi hajur wo dil andar mein aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.