Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

prem ka ang - hua hai mast mansura chaDha suli na chhoDa haq

Doolandas Ji

prem ka ang - hua hai mast mansura chaDha suli na chhoDa haq

Doolandas Ji

MORE BYDoolandas Ji

    huā hai mast mansūrā chaḌhā suulī na chhoḌā haq

    pukārā ishq-bāzoñ ko ahai marnā yahī bar-haq

    jo bole āshiqāñ yārāñ hamāre dil meñ hai shak

    ahai ye kaam sūroñ lagāye piir se ab tak

    shams-tabrez sifat jahāñ meñ zāhirā ab tak

    nizāmuddīn sultāna sabhī meTe dunī ke dhak

    nirakh rahe nuur allāh rahe jiite rahe jab tak

    huā hāfiz divāna bhī bhaye aise nahīñ har yak

    sunā hai ishq majnūñ lagī lailā ke rahtī jhak

    jalā-kar ḳhaak tan kiina hue vo bhī usī muāfiq

    'dūlan' jan ko diyā murshid piyāla naam thak-thak

    vahī hai shaah jagjīvan chamaktā dekhiye laq laq

    hua hai mast mansura chaDha suli na chhoDa haq

    pukara ishq-bazon ko ahai marna yahi bar-haq

    jo bole aashiqan yaran hamare dil mein hai ji shak

    ahai ye kaam suron ka lagaye pir se ab tak

    shams-tabrez ki sifat jahan mein zahira ab tak

    nizamuddin sultana sabhi meTe duni ke dhak

    nirakh rahe nur allah ka rahe jite rahe jab tak

    hua hafiz diwana bhi bhaye aise nahin har yak

    suna hai ishq majnun ka lagi laila ke rahti jhak

    jala-kar KHak tan kina hue wo bhi usi muafiq

    'dulan' jan ko diya murshid piyala nam ka thak-thak

    wahi hai shah jagjiwan chamakta dekhiye laq laq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now