yogeshwar dhiraj rahna mera bhai kar le nam ki kamai
yogeshvar dhīraj rahnā merā bhaa.ī kar le naam kī kamā.ī
dayā kā duudh prem kā jāman gyaan kī ra.ī firā.ī
may mākhan jab khāyā naam kā aur svaad kuchh nāhauñ
dhīraj aasan lagā samajh kā paap punya kuchh nāñhī
andar varshā hot amī kī rom-rom rañg laa.ī
sammukh hove jo nar ḳhelaiñ shūre sant sipāhī
phanī-phanī nirbhay ho khele āvāgaman miThā.ī
burī-bhalī jinke nahiñ vyāpe ek najar meñ aa.ī
sākshāt meñ barham ruup hai bharam rahā kuchh nahīñ
surat piyā kā ek ghar mela guru chelā bhī nahīñ
'ghīsā' sant magan ho baiThe ghaT meñ rahe samā.ī
yogeshwar dhiraj rahna mera bhai kar le nam ki kamai
daya ka dudh prem ka jaman gyan ki rai firai
may makhan jab khaya nam ka aur swad kuchh nahaun
dhiraj aasan laga samajh ka pap punya kuchh nanhi
andar warsha hot ami ki rom-rom rang lai
sammukh howe jo nar KHelain shure sant sipahi
phani-phani nirbhay ho khele aawagaman miThai
buri-bhali jinke nahin wyape ek najar mein aai
sakshat mein barham rup hai bharam raha kuchh nahin
surat piya ka ek ghar mela guru chela bhi nahin
'ghisa' sant magan ho baiThe ghaT mein rahe samai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.