un santo kanTh kanwal mein khojo bhai yahan hi kahiye tera sani
un santo kanTh kanwal mein khojo bhai yahan hi kahiye tera sani
Ghisa Saheb
MORE BYGhisa Saheb
uuñ santo kañTh kañval meñ khojo bhaa.ī yahāñ hī kahiye terā saañī
kañTh kañval jab khojyā pyārā sūjhan laagā sarjanhārā
gyaan shabd kī kunjī paa.ī jab jogī ne jugat kamā.ī
bharam gaḌ.h kā soḌā taalā ghaT pinD meñ huā ujālā
rūm-rūm meñ ḳhushī bahārā amī buuñd kā chhuTā phuvārā
trivenī meñ rañg lagāyā jāmeñ phuul hajārā paayā
jā karan tū bhaTke bhaa.ī so kahiye tere tan māñhī
aisī muul bahut sī daarī aashā tirishnā ho rahī bhārī
in kuuñ maar adal baiTāyā surat nirat kā mel milāyā
gagan manDal kā rasta paayā gupt bhed satguru samjhāyā
sunn mahal meñ diye dikhā.ī yo hansā hai terā bhaa.ī
terī āvāgavan sahj miTā.ī nirbhay pad meñ rahā samā.ī
pad paayā puurā bhyā milī nuur meñ nuur satguru kī kirpā bha.ī 'ghīsā' sant hajūr
kahan sunan kī gam nahīñ ghar-ghar rahā bharpūr
un santo kanTh kanwal mein khojo bhai yahan hi kahiye tera sani
kanTh kanwal jab khojya pyara sujhan laga sarjanhaara
gyan shabd ki kunji pai jab jogi ne jugat kamai
bharam gaDh ka soDa tala ghaT pinD mein hua ujala
rum-rum mein KHushi bahaara ami bund ka chhuTa phuwara
triweni mein rang lagaya jamen phul hajara paya
ja karan tu bhaTke bhai so kahiye tere tan manhi
aisi mul bahut si dari aasha tirishna ho rahi bhaari
in kun mar adal baiTaya surat nirat ka mel milaya
gagan manDal ka rasta paya gupt bhed satguru samjhaya
sunn mahal mein diye dikhai yo hansa hai tera bhai
teri aawagawan sahj miTai nirbhay pad mein raha samai
pad paya pura bhya mili nur mein nur satguru ki kirpa bhai 'ghisa' sant hajur
kahan sunan ki gam nahin ghar-ghar raha bharpur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.