dekho mere wacha sant karen baadshahi
dekho mere vāchā sant kareñ bādshāhī
dayā shahar aur shabd mulk hai samajh kī galiyāñ bhaa.ī
nishchay naam taḳht pai baiThe rajā daam le yāñhī
sat kī top gyaan kā golā priit ko chakmak laa.ī
prem sipāhī laḌne laage bharam kī burjī Dhaa.ī
pāñch pachīsoñ pakaḌ mañgāye bhejā shiil sipāhī
chamā phand meñ jaal diye haiñ murde jinde yāñhī
kaayā nagar kā raaj karat haiñ mulk bahut sā yāñhī
tiin lok ke naath virājeñ sīdhī virle na paa.ī
nirbhay raaj diyā satguru ne hari hari hotī aa.ī
'ghīsā' sant pai kirpā ho rahī aTal bādshāhī paa.ī
dekho mere wacha sant karen baadshahi
daya shahar aur shabd mulk hai samajh ki galiyan bhai
nishchay nam taKHt pai baiThe raja dam le yanhi
sat ki top gyan ka gola prit ko chakmak lai
prem sipahi laDne lage bharam ki burji Dhai
panch pachison pakaD mangaye bheja shil sipahi
chama phand mein jal diye hain murde jinde yanhi
kaya nagar ka raj karat hain mulk bahut sa yanhi
tin lok ke nath wirajen sidhi wirle na pai
nirbhay raj diya satguru ne hari hari hoti aai
'ghisa' sant pai kirpa ho rahi aTal baadshahi pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.