jita ko sahib mile gyan kiya parkash
jiitā ko sāhib mile gyaan kiyā parkāsh
sant shabd sā khelat santo hī ke paas
jiitā jag meñ aaye kai Tahal kaaro na satsañg
dhokhe meñ dojakh gayā pī maayā kī bhañg
jiitā sumran kījiye aaTh pahar chitlāy
bin sumran kuchh hai nahīñ janm amolk jaay
jiitā sumran kījiye yahī baDā hai gyaan
bin sumran mansā terī Dolat be-īmān
jiitā pativratā pī meñ milī karke shiil siñgār
dekhat pī raajī huī sabhī utāre bhaar
‘jītā’ puure guru binā bhed na pāvai daas
chaurāsī meñ jaay ke bhogai bahutak traas
jita ko sahib mile gyan kiya parkash
sant shabd sa khelat santo hi ke pas
jita jag mein aaye kai Tahal karo na satsang
dhokhe mein dojakh gaya pi maya ki bhang
jita sumran kijiye aaTh pahar chitlay
bin sumran kuchh hai nahin janm amolk jay
jita sumran kijiye yahi baDa hai gyan
bin sumran mansa teri Dolat be-iman
jita patiwrata pi mein mili karke shil singar
dekhat pi raji hui sabhi utare bhaar
‘jita’ pure guru bina bhed na pawai das
chaurasi mein jay ke bhogai bahutak tras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.