terā hari se milan kaise hoai
satsat meñ surtāñ āvatī nahīñ
betā-betī potā-potī rahī kuTumb meñ moh
ant samay terā koī na sāthī akelī ne chalnā hoy
pīpal sīñcheñ jāDīñ dhoke tulsī ke sir hoy
duudh puut meñ kushal rākhiye maiñ dhokūñgī toy
balāpan tarūnā.ī buḌhāpā tīnoñ pan diye khol
ab pachhtāye kyā hot hai muuñD pakḌ-pakaḌ ke roy
pāñchoñ ke sañg laagī Dole vishy das rahī bhog
kabhī bāhar kabhī bhītar jaave chain paḌe nā toy
baar baar samjhā.ī merī surtāñ ek nā maanī toy
‘nekīrām’ kaheñ samajh lāDlī muul byaaj chālī khoy
tera hari se milan kaise hoai
satsat mein surtan aawati nahin
beta-beti pota-poti rahi kuTumb mein moh
ant samay tera koi na sathi akeli ne chalna hoy
pipal sinchen jaDin dhoke tulsi ke sir hoy
dudh put mein kushal rakhiye main dhokungi toy
balapan tarunai buDhapa tinon pan diye khol
ab pachhtaye kya hot hai munD pakD-pakaD ke roy
panchon ke sang lagi Dole wishy das rahi bhog
kabhi bahar kabhi bhitar jawe chain paDe na toy
bar bar samjhai meri surtan ek na mani toy
‘nekiram’ kahen samajh laDli mul byaj chaali khoy
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.