Sufinama

Ansu Shayari

vahī ab ba.ad-e-murdan qabr par aañsū bahāte haiñ

na aayā thā jinheñ merī mohabbat yaqīñ barsoñ

wahi ab baad-e-murdan qabr par aansu bahate hain

na aaya tha jinhen meri mohabbat ka yaqin barson

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

uthar tere aañsū idhar mere aañsū

vo laa.e hu۔e haiñ aaye hu۔e haiñ

uthar tere aansu idhar mere aansu

wo lae hu۔e hain ya aaye hu۔e hain

Aarzu Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

nahīñ thamte nahīñ thamte mire aañsū 'bedam'

rāz-e-dil un pe huā jaatā hai ifshā dekho

nahin thamte nahin thamte mere aansu 'bedam'

raaz-e-dil un pe hua jata hai ifsha dekho

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

hañsne meñ jo aañsū aate haiñ nairang-e-jahāñ batlāte haiñ

har-roz janāze jaate haiñ har-roz brāteñ hotī haiñ

hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain

har-roz janaze jate hain har-roz braaten hoti hain

Aarzu Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

zarā Thahro mire aañsū to puure ḳhushk hone do

abhī āñkhoñ meñ thoḌī namī ma.alūm hotī hai

zara Thahro mere aansu to pure KHushk hone do

abhi aankhon mein thoDi si nami malum hoti hai

Kamil Shattari
  • Share this
  • Critique

aañsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekin

bañdh jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai

aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin

bandh jae so moti hai rah jae so dana hai

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

nahīñ chaltī koī tadbīr ġham meñ

yahī kyā kam hai jo aañsū ravāñ hai

nahin chalti koi tadbir gham mein

yahī kya kam hai jo aansu rawan hai

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

jise rā.egāñ samjhā thā 'vāsif'

vo aañsū iftiḳhār-e-jām-e-jam thā

jise tu raegan samjha tha 'wasif'

wo aansu iftiKHar-e-jam-e-jam tha

Wasif Ali Wasif
  • Share this
  • Critique

inheñ aañsū samajh kar yuuñ na miTTī meñ milā zālim

payām-e-dard-o-dil hai aur āñkhoñ zabānī hai

inhen aansu samajh kar yun na miTTi mein mila zalim

payam-e-dard-o-dil hai aur aankhon ki zabani hai

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

mil gayā raah meñ mujh ko jab vo sanam laakh dil ko sambhālā kiyā zabt-e-ġham

dil meñ hasrat liye chand aañsū magar daf.atan muskurā.e to maiñ kyā karūñ

mil gaya rah mein mujh ko jab wo sanam lakh dil ko sambhaala kiya zabt-e-gham

dil mein hasrat liye chand aansu magar dafatan muskurae to main kya karun

  • Share this
  • Critique

'purnam' ġham-e-ulfat meñ tum aañsū na bahāo

is aag ko paanī se bujhāyā nahīñ jaatā

'purnam' gham-e-ulfat mein tum aansu na bahao

is aag ko pani se bujhaya nahin jata

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

hameñ bhī na ab chain aa.egā jab tak

in āñkhoñ meñ aañsū na bhar lā.iyegā

hamein bhi na ab chain aaega jab tak

in aankhon mein aansu na bhar laiyega

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

vafā.eñ yaad karke vo bahā jaate haiñ rose aañsū

rahegā hashr tak sarsabz sabza merī turbat

wafaen yaad karke wo baha jate hain rose aansu

rahega hashr tak sarsabz sabza meri turbat ka

Akbar Warsi Meerthi
  • Share this
  • Critique

mohabbat ke aañsū haiñ jā.iye

kahīñ koī tūfān aa jaa.e

mohabbat ke aansu hain pi jaiye

kahin koi tufan aa jae na

Kamil Shattari
  • Share this
  • Critique

aañsū sañbhal ke poñchhi.ye bīmār-e-ishq huuñ

dil bhī lagā huā hai merī chashm-e-nam ke saath

aansu sanbhal ke ponchhiye bimar-e-ishq hun

dil bhi laga hua hai meri chashm-e-nam ke sath

Kamil Shattari
  • Share this
  • Critique

be-irādā kuchh Tapak paḌte haiñ aañsū bhī vahīñ

zindagī jis ravish per muskurā saktā huuñ maiñ

be-irada kuchh Tapak paDte hain aansu bhi wahin

zindagi ki jis rawish per muskura sakta hun main

Kamil Shattari
  • Share this
  • Critique

vo sitārā jo mire naam se mansūb huā

dīda-e-shab meñ hai ik āḳhirī aañsū tarah

wo sitara jo mere nam se mansub hua

dida-e-shab mein hai ek aaKHiri aansu ki tarah

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

na pūchh hāl-e-shab-e-ġham na pūchh ai 'purnam'

bahā.e jaate haiñ aañsū bahā.e jaate haiñ

na puchh haal-e-shab-e-gham na puchh ai 'purnam'

bahae jate hain aansu bahae jate hain

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

vahīñ se ye aañsū ravāñ haiñ jo dil meñ

tamannā poshīda hai ik ḳhazīna

wahin se ye aansu rawan hain jo dil mein

tamanna ka poshida hai ek KHazina

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

aap aa.eñ to sahī Thokar lagāne ke liye

merī turbat dekh kar aañsū ravāñ ho jā.eñge

aap aaen to sahi Thokar lagane ke liye

meri turbat dekh kar aansu rawan ho jaenge

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

lagā ke zaḳhm bahāne chalā hai ab aañsū

rukā hai ḳhuun kahīñ paTTiyāñ bhigone se

laga ke zaKHm bahane chala hai ab aansu

ruka hai KHun kahin paTTiyan bhigone se

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

ḳhūn-e-dil jitnā thā saarā vaqf-e-hasrat kar diyā

is qadar royā ki merī aañkh meñ aañsū nahīñ

KHun-e-dil jitna tha sara waqf-e-hasrat kar diya

is qadar roya ki meri aankh mein aansu nahin

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mushtark shab se huā ḳhūn-e-jigar ashkoñ meñ

raat se rañg badalne lage aañsū apnā

mushtark shab se hua KHun-e-jigar ashkon mein

raat se rang badalne lage aansu apna

Rind Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

chashm-e-tar laḳht-e-dil-e-sozāñ se aañsū ko bujhā

tifl-e-abtar Daal de hai haath aksar haath meñ

chashm-e-tar laKHt-e-dil-e-sozan se aansu ko bujha

tifl-e-abtar Dal de hai hath aksar hath mein

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

dard sūrat uThā aañsū sūrat gir paḌā

jab se vo himmat nahīñ kisī bal nahīñ tāqat nahīñ

dard ki surat uTha aansu ki surat gir paDa

jab se wo himmat nahin kisi bal nahin taqat nahin

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

maiñ ik aañsū sahī huuñ bahut anmol magar

yuuñ na palkoñ se girā kar mujhe miTTī meñ milā

main ek aansu hi sahi hun bahut anmol magar

yun na palkon se gira kar mujhe miTTi mein mila

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

ruk ga.e aañsū mire dard-e-jigar kuchh kam huā

is but-e-sīmīñ-badan jab nazāra ho gayā

ruk gae aansu mere dard-e-jigar kuchh kam hua

is but-e-simin-badan ka jab nazara ho gaya

Sanjar Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

kyā surma bharī āñkhoñ se aañsū nahīñ girte

kyā mehñdī lage hāthoñ se mātam nahīñ hotā

kya surma bhari aankhon se aansu nahin girte

kya mehndi lage hathon se matam nahin hota

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mere soz-e-darūñ ne aañkh meñ aañsū nahīñ chhoḌe

jahāñ sho.ale bhaḌakte hoñ vahāñ shabnam nahīñ hotī

mere soz-e-darun ne aankh mein aansu nahin chhoDe

jahan shoale bhaDakte hon wahan shabnam nahin hoti

Sadiq Dehlvi
  • Share this
  • Critique

sayyād razā ye ham aañsū na sake

uzr-e-ġham-bahār kiyā haa.e kyā kiyā

sayyād razā ye hum aañsū na sake

uzr-e-ġham-bahār kiyā hae kyā kiyā

Behzad Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

baiTh kar ro.e jahāñ ġhurbat meñ dariyā ho.gayā

chaar aañsū jab gire āñkhoñ se chaukā ho.gayā

baiTh kar roe jahan ghurbat mein dariya hogaya

chaar aansu jab gire aankhon se chauka hogaya

Barq Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

shāyad ki yahī aañsū kaam aa.eñ mohabbat meñ

ham apnī matā-e-ġham barbād nahīñ karte

shayad ki yahī aansu kaam aaen mohabbat mein

hum apni mata-e-gham barbaad nahin karte

Fana Nizami Kanpuri
  • Share this
  • Critique

motī vo aab kahāñ aañsū kaalā motī hai

shāyad merī hijr shab muñh syāhī hotī hai

moti si wo aab kahan aansu kala moti hai

shayad meri hijr ki shab munh ki syahi hoti hai

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

magar aañsū kisū ke poñchhe haiñ

āstīñ aaj kyuuñ tirī nam hai

magar aañsū kisū ke poñchhe haiñ

āstīñ aaj kyuñ tirī nam hai

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

ik lahza bahe aañsū ik lahza hañsī aa.ī

sīkhe haiñ na.e dil ne andāz-e-shakebā.ī

ek lahza bahe aañsū ek lahza hañsī aaī

sīkhe haiñ nae dil ne andāz-e-shakebāī

Sufi Tabassum
  • Share this
  • Critique

mil gayā raah meñ mujh ko jab vo sanam laakh dil ko sambhālā kiyā zabt-e-ġham

dil meñ hasrat liye chand aañsū magar daf.atan muskurā.e to maiñ kyā karūñ

mil gaya rah mein mujh ko jab wo sanam lakh dil ko sambhaala kiya zabt-e-gham

dil mein hasrat liye chand aansu magar dafatan muskurae to main kya karun

  • Share this
  • Critique

maiñ samjhūñgā ki mere dāġh-e-isyāñ dhul ga.e saare

agar aañsū tirī chashm-e-taġhāful se nikal aayā

main samjhunga ki mere dagh-e-isyan dhul gae sare

agar aansu teri chashm-e-taghaful se nikal aaya

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

chupke chupke rāt-din aañsū bahānā yaad hai

ham ko ab tak āshiqī vo zamāna yaad hai

chupke chupke raat-din aansu bahana yaad hai

hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

'purnam' us be-vafā ke liye

mere aañsū duā ho ga.e

'purnam' us be-wafa ke liye

mere aansu dua ho gae

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

laboñ per naam na aañsū hikāyat na shikāyat ho

asīr-e-zulf dīvāna hai dīvānā ye kiyā jaane

labon per nam na aansu hikayat na shikayat ho

asir-e-zulf diwana hai diwana ye kiya jaane

Bekhud Suhrawardi
  • Share this
  • Critique

idhar to āñkhoñ meñ aañsū udhar ḳhayāl meñ vo

baḌe maze se kaTī zindagī judā.ī meñ

idhar to aankhon mein aansu udhar KHayal mein wo

baDe maze se kaTi zindagi judai mein

Qaisar Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

barchhī thī vo nigāh dekho to

lahū āñkhoñ meñ hai ki aañsū hai

barchhi thi wo nigah dekho to

lahu aankhon mein hai ki aansu hai

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

bane aañsū phaphūle sūrat-e-sham.a

jalā.e haiñ ham apnī chashm-e-tar ke

bane aansu phaphule surat-e-shama

jalae hain hum apnī chashm-e-tar ke

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū

is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huuñ

ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū

is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huñ

Behzad Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now