pahchāntā vo ab nahīñ dushman ko dost se
kis qaid se asīr-e-mohabbat rihā huā
pahchanta wo ab nahin dushman ko dost se
kis qaid se asir-e-mohabbat riha hua
asīr-e-gesū-e-pur-ḳham banā.e pahle āshiq ko
nikāle phir vo pech-o-ḳham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
asir-e-gesu-e-pur-KHam banae pahle aashiq ko
nikale phir wo pech-o-KHam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
maiñ hamesha asīr-e-alam hī rahā mire dil meñ sadā terā ġham hī rahā
mirā naḳhl-e-ummīd qalam hī rahā mere rone kā koī samar na milā
main hamesha asir-e-alam hi raha mere dil mein sada tera gham hi raha
mera naKHl-e-ummid qalam hi raha mere rone ka koi samar na mila
kyūñ-kar na qurb-e-haq kī taraf dil mirā kījiye
gardan asīr-e-halqa-e-habl-ul-varīd hai
kyun-kar na qurb-e-haq ki taraf dil mera kijiye
gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-warid hai
nau-asīr-e-furqat huuñ vasl-e-yār mujh se pūchh
ho ga.ī ḳhizāñ dam meñ sab bahār mujh se pūchh
nau-asir-e-furqat hun wasl-e-yar mujh se puchh
ho gai KHizan dam mein sab bahaar mujh se puchh
jahāñ meñ ḳhāna-zād-e-zulf ko kyā chhoḌ dete haiñ
ki tum ne chhoḌ rakhā mujh asīr-e-zulf-pechāñ ko
jahan mein KHana-zad-e-zulf ko kya chhoD dete hain
ki tum ne chhoD rakha mujh asir-e-zulf-pechan ko
asīr-e-kākul-e-ḳhamdār huuñ maiñ
giraftār-e-kamand-e-yār huuñ maiñ
asir-e-kakul-e-KHamdar hun main
giraftar-e-kamand-e-yar hun main
bahār aa.ī chaman meñ go mujhe kyā
giraftār-o-asīr-e-dām huuñ maiñ
bahaar aai chaman mein go mujhe kya
giraftar-o-asir-e-dam hun main
ham ne maanā dām-e-gesū meñ nahīñ 'āsī' asiir
baaġh meñ nazzāra-e-sumbul se ghabrāte haiñ kyuuñ
hum ne mana dam-e-gesu mein nahin 'asi' asir
bagh mein nazzara-e-sumbul se ghabraate hain kyun
azal se murġh-e-dil ko ḳhatra-e-sayyād kyā hotā
ki us ko to asīr-e-halqa-e-fitrāk honā thā
azal se murgh-e-dil ko KHatra-e-sayyaad kya hota
ki us ko to asir-e-halqa-e-fitrak hona tha
us bulbul-e-asīr kī hasrat pe daaġh huuñ
mar hī ga.ī qafas meñ sunī jab sadā-e-gul
us bulbul-e-asir ki hasrat pe dagh hun
mar hi gai qafas mein suni jab sada-e-gul
laboñ per naam na aañsū hikāyat na shikāyat ho
asīr-e-zulf dīvāna hai dīvānā ye kiyā jaane
labon per nam na aansu hikayat na shikayat ho
asir-e-zulf diwana hai diwana ye kiya jaane
ho gayā dām-e-ḳhauf-e-ġham se rihā
jo tumhārā asīr-e-gesū hai
ho gaya dam-e-KHauf-e-gham se riha
jo tumhaara asir-e-gesu hai
qaidī-e-zulf kabhī gaah asīr-e-gesū
hamne is dil ko isī tarah kā saudā dekhā
qaidi-e-zulf kabhi gah asir-e-gesu
hamne is dil ko isi tarah ka sauda dekha
'turāb'-e-āshiq-e-gesū-darāze
asīr-e-rishta-e-zunnār haigā
'turab'-e-ashiq-e-gesu-daraaze
asir-e-rishta-e-zunnar haiga
asīr-e-gesū-e-pur-ḳham banā.e pahle āshiq ko
nikāle phir vo pech-o-ḳham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
asir-e-gesu-e-pur-KHam banae pahle aashiq ko
nikale phir wo pech-o-KHam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
tū paas thā to hijr thā ab duur hai to vasl
sab se alag hai rañg tire is asiir kā
tu pas tha to hijr tha ab dur hai to wasl
sab se alag hai rang tere is asir ka
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere