pareshāñ kis liye haiñ chāñd se ruḳhsār par gesū
haTā liije ki dhundlī chāñdnī achchhī nahīñ lagtī
pareshan kis liye hain chand se ruKHsar par gesu
haTa lije ki dhundli chandni achchhi nahin lagti
use chāñd-sūraj se tashbīh kyā duuñ
jo hai rashk-e-shams-o-qamar allāh allāh
use chand-suraj se tashbih kya dun
jo hai rashk-e-shams-o-qamar allah allah
misr kā chāñd bhī shaidā hai azal se un kā
husn kā husn bhī dīvāna nazar aatā hai
misr ka chand bhi shaida hai azal se un ka
husn ka husn bhi diwana nazar aata hai
vo bikhrāne lage zulfoñ ko chehre par to maiñ samjhā
ghaTā meñ chāñd yā mahmil meñ lailā muñh chhupātī hai
wo bikhrane lage zulfon ko chehre par to main samjha
ghaTa mein chand ya mahmil mein laila munh chhupati hai
chāñd sā mukhḌā us ne dikhā kar phir naināñ ke baan chalā kar
sa.variyā ne bīch-bajariyā luuT liyo bas nirdhan ko
chand sa mukhDa us ne dikha kar phir nainan ke ban chala kar
sawariya ne bich-bajariya luT liyo bas nirdhan ko
ḳhud tumeñ ye chāñd-sā mukhḌā karega be-hijāb
muñh pe jab māroge tum jhurmuT katāñ ua jaye.gā
KHud tumen ye chand-sa mukhDa karega be-hijab
munh pe jab maroge tum jhurmuT katan ua jayega
mirā dāġh-e-sajda miTā.e kyuuñ falak us ko chāñd banā.e kyuuñ
ki ye daaġh hāsil-e-āshiqī hai mirī jabīn-e-niyāz meñ
mera dagh-e-sajda miTae kyun falak us ko chand banae kyun
ki ye dagh hasil-e-ashiqi hai meri jabin-e-niyaz mein
muddat meñ jalva-gar hue bālā-e-bām vo
us chāñd ko maiñ dekhūñ ki dekhūñ qamar ko maiñ
muddat mein jalwa-gar hue baala-e-baam wo
us chand ko main dekhun ki dekhun qamar ko main
chāñd sā mukhḌā us ne dikhā kar phir naināñ ke baan chalā kar
sa.variyā ne bīch-bajariyā luuT liyo is nirdhan ko
chand sa mukhDa us ne dikha kar phir nainan ke ban chala kar
sawariya ne bich-bajariya luT liyo is nirdhan ko
aur bhī chāñd kī shakleñ haiñ nahīñ aap na hoñ
nuur kī sham.eñ nahīñ raushan mire kāshāne meñ
aur bhi chand ki shaklen hain nahin aap na hon
nur ki shamen nahin raushan mere kashane mein
mujh se lage haiñ ishq kī azmat ko chaar chāñd
ḳhud husn ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand
KHud husn ko gawah kiye ja raha hun main
are o charḳh dene ke liye daaġh
bahut haiñ chāñd ke TukḌe zamīñ par
are o charKH dene ke liye dagh
bahut hain chand ke TukDe zamin par
tere husn kī dekh tajallī ai rashk-e-hūr
sūraj kahūñ ki chāñd ki nūr-e-ḳhudā kahūñ
tere husn ki dekh tajalli ai rashk-e-hur
suraj kahun ki chand ki nur-e-KHuda kahun
ishq meñ chāñd-sitāroñ kī haqīqat kyā ho
jalva-e-yār pe qurbān sahar hotī hai
ishq meñ chāñd-sitāroñ kī haqīqat kyā ho
jalwa-e-yār pe qurbān sahar hotī hai
tū bichhaḌ gayā hai jab se mirī niiñd uḌ ga.ī hai
tirī raah tak rahā huuñ mire chāñd ab to aa jā
tū bichhaḌ gayā hai jab se mirī niñd uḌ gaī hai
tirī rah tak rahā huñ mere chāñd ab to aa jā
vo chāñd sā muñh surḳh dupaTTa meñ hai raḳhshāñ
yā mehr kahūñ jalva-numā zer-e-shafaq hai
wo chand sa munh surKH dupaTTa mein hai raKHshan
ya mehr kahun jalwa-numa zer-e-shafaq hai
ākāsh kī jagmag rātoñ meñ jab chāñd sitāre milte haiñ
dil de de sanam ko tū bhī ye qudrat ke ishāre milte haiñ
aakash ki jagmag raaton mein jab chand sitare milte hain
dil de de sanam ko tu bhi ye qudrat ke ishaare milte hain
vasl meñ gesū-e-shab-gūñ ne chhupā.ī aariz
lailatul-qadr meñ kyuuñ chāñd nikalne na diyā
wasl mein gesu-e-shab-gun ne chhupai aariz
lailatul-qadr mein kyun chand nikalne na diya
jalva-e-ruḳhsār-e-sāqī sāġhar-o-mīnā meñ hai
chāñd uupar hai magar Duubā huā dariyā meñ hai
jalwa-e-ruKHsar-e-saqi saghar-o-mina mein hai
chand upar hai magar Duba hua dariya mein hai
chāñd sī peshānī sindūr kā Tiikā nahīñ
bām-e-ka.aba par charāġh is ne jalā kar rakh diyā
chand si peshani sindur ka Tika nahin
baam-e-kaba par charagh is ne jala kar rakh diya
tere mukhḌe ko yuuñ take hai dil
chāñd ke joñ rahe chakor lagā
tere mukhDe ko yun take hai dil
chand ke jon rahe chakor laga
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere