chādar se mauj ke na chhupe chehra aap kā
burqa habāb kā na ho burqa habāb kā
chadar se mauj ke na chhupe chehra aap ka
burqa habab ka na ho burqa habab ka
chehre pe jo tere nazar kar gayā
jaan se vo apnī guzar kar gayā
chehre pe jo tere nazar kar gaya
jaan se wo apni guzar kar gaya
nukta-e-īmān se vāqif ho
chehra-e-yār jā-ba-jā dekhā
nukta-e-iman se waqif ho
chehra-e-yar ja-ba-ja dekha
ik chehre se pyaar karūñ maiñ ik se ḳhauf lage hai mujh ko
ik chehra ik ā.īna hai ik chehra patthar lagtā hai
ek chehre se pyar karun main ek se KHauf lage hai mujh ko
ek chehra ek aaina hai ek chehra patthar lagta hai
us kā chehra kab us kā apnā thā
jis ke chehre par mar miTe chehre
us ka chehra kab us ka apna tha
jis ke chehre par mar miTe chehre
apnā be-ḳhud mujhe lillah banā le saaqī
burqa phir chehra-e-anvar se haTā le saaqī
apna be-KHud mujhe lillah bana le saqi
burqa phir chehra-e-anwar se haTa le saqi
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere