kaise kah duuñ ki ġhair se miliye
an-kahī to kahī nahīñ jaatī
kaise kah dun ki ghair se miliye
an-kahi to kahi nahin jati
maiñ fida-e-murshid-e-pāk huuñ dar-e-bārgāh kī ḳhaak huuñ
vo samā ke mujh meñ ye kahte haiñ ki 'azīz' ġhair-muhāl hai
main fida-e-murshid-e-pak hun dar-e-bargah ki KHak hun
wo sama ke mujh mein ye kahte hain ki 'aziz' ghair-muhaal hai
vo rahe āñkhoñ meñ merī maiñ na dekhūñ ġhair ko
ye hamāre aur un ke ahd-o-paimāñ ho gayā
wo rahe aankhon mein meri main na dekhun ghair ko
ye hamare aur un ke ahd-o-paiman ho gaya
maiñ ne pūchhā ġhair ke ghar aap kyā karte rahe
hañs ke farmāyā tumhārā rāstā dekhā kiye
main ne puchha ghair ke ghar aap kya karte rahe
hans ke farmaya tumhaara rasta dekha kiye
ġhair jab tak na nikal jā.egā mahfil se tirī
ham na rakheñge tirī bazm meñ zinhār qadam
ghair jab tak na nikal jaega mahfil se teri
hum na rakhenge teri bazm mein zinhaar qadam
ġhair kā shikva kyūñkar rahtā dil meñ jab ummīdeñ thiiñ
apnā phir bhī apnā thā begāna phir begāna thā
ghair ka shikwa kyunkar rahta dil mein jab ummiden thin
apna phir bhi apna tha begana phir begana tha
'bedam' vo ḳhush nahīñ haiñ to achchhā yūñhī sahī
nā-ḳhush hī ho ke ġhair mirā kyā banā.eñge
'bedam' wo KHush nahin hain to achchha yunhi sahi
na-KHush hi ho ke ghair mera kya banaenge
bahut hī ḳhair guzrī hote hote rah ga.ī us se
jise meñ ġhair samjhā huuñ vo un kā pāsbāñ hogā
bahut hi KHair guzri hote hote rah gai us se
jise mein ghair samjha hun wo un ka pasban hoga
terī mahfil se uThātā ġhair mujh ko kyā majāl
dekhtā thā maiñ ki tū ne bhī ishāra kar diyā
teri mahfil se uThata ghair mujh ko kya majal
dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya
vajūd-e-ġhair ho kaise gavārā
tirī rāhoñ meñ be-sāya gayā huuñ
wajud-e-ghair ho kaise gawara
teri rahon mein be-saya gaya hun
vo kuchh ġhair se va.ada farmā rahe haiñ
mare sar kī jhūTī qasam khā rahe haiñ
wo kuchh ghair se wada farma rahe hain
mare sar ki jhuTi qasam kha rahe hain
ġhair se mil kar unheñ nāhaq huā merā ḳhayāl
mujh se kyā matlab bhalā maiñ kyuuñ ḳhafā hone lagā
ghair se mil kar unhen nahaq hua mera KHayal
mujh se kya matlab bhala main kyun KHafa hone laga
ye faisla to bahut ġhair-munsifāna lagā
hamārā sach bhī adālat ko bāġhiyāna lagā
ye faisla to bahut ghair-munsifana laga
hamara sach bhi adalat ko baghiyana laga
jag meñ samajh ki ġhair-e-ḳhudā aur kuchh nahīñ
vohī dukān-dār ḳharīdār aur vohī matā.a
jag mein samajh ki ghair-e-KHuda aur kuchh nahin
wohi dukan-dar KHaridar aur wohi mataa
ġhair kī nazroñ se bach kar sab kī marzī ke ḳhilāf
vo tirā chorī-chhupe rātoñ ko aanā yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
mere hote ġhair kī jānib tire abrū hileñ
dostī bālā-e-tāq apnī rakh ai dilbar uThā
mere hote ghair ki jaanib tere abru hilen
dosti baala-e-taq apnī rakh ai dilbar uTha
bad-gumānī hai mirī vo ġhair par hai mehrbāñ
aisā kāfir dil kisī par mehrbāñ hotā nahīñ
bad-gumani hai meri wo ghair par hai mehrban
aisa kafir dil kisi par mehrban hota nahin
tū chāhe na kar dil se ulfat tū chāhe na rakh mujh se nisbat
maiñ terī nazar meñ ġhair magar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tu chahe na kar dil se ulfat tu chahe na rakh mujh se nisbat
main teri nazar mein ghair magar tu aur nahin main aur nahin
yuuñ mujh pe jafā hazār kiijo
par ġhair ko to na pyaar kiijo
yun mujh pe jafa hazar kijo
par ghair ko to na pyar kijo
kal ġhair ke dhoke meñ vo iid mile ham se
kholī bhī to dushman ne taqdīr-e-ham-āġhoshī
kal ghair ke dhoke mein wo id mile hum se
kholi bhi to dushman ne taqdir-e-ham-aghoshi
gar kisī ġhair ko farmāoge tab jānoge
ve hamīñ haiñ ki bajā lāveñ jo irshād karo
gar kisi ghair ko farmaoge tab jaanoge
we hamin hain ki baja lawen jo irshad karo
mujh se avval na thā kuchh dahr meñ juz zāt-e-ḳhudā
ġhair-e-haq dekhā to phir kuchh na rahā mere bad
mujh se awwal na tha kuchh dahr mein juz zat-e-KHuda
ghair-e-haq dekha to phir kuchh na raha mere bad
ho rahā hai ġhair mujh se bad-gumāñ
hañs rahī hai pāk-dāmānī mirī
ho raha hai ghair mujh se bad-guman
hans rahi hai pak-damani meri
gar baḌe mard ho to ġhair ko yaañ jā diije
us ko kah dekhiye kuchh yā mujhe uThvā diije
gar baDe mard ho to ghair ko yan ja dije
us ko kah dekhiye kuchh ya mujhe uThwa dije
ġhair ke sau naaz tum par aur mujh par aap ke
aap dabte jā.iye mujh ko dabāte jā.iye
ghair ke sau naz tum par aur mujh par aap ke
aap dabte jaiye mujh ko dabaate jaiye
nahīñ us meñ to ġhair-az-jaur lekin
mujhe kyā jaane kyā aa.ī adā ḳhush
nahīñ us meñ to ġhair-az-jaur lekin
mujhe kyā jaane kyā aaī adā ḳhush
tire kūche kā rahnumā chāhtā huuñ
magar ġhair kā naqsh-e-pā chāhtā huuñ
tere kuche ka rahnuma chahta hun
magar ghair ka naqsh-e-pa chahta hun
ġhair-e-zāhir na mazāhir kī haqīqat samjhūñ
itnī tam.īz miyān-e-haq-o-bātil denā
ghair-e-zahir na mazahir ki haqiqat samjhun
itni tamiz miyan-e-haq-o-baatil dena
sāmne mere hī vo jaate haiñ bazm-e-ġhair meñ
al-madad ai zabt mujh ko kab tak us kā ġham rahe
samne mere hi wo jate hain bazm-e-ghair mein
al-madad ai zabt mujh ko kab tak us ka gham rahe
jise tum ġhair samjhe ho use ham yaar kahte haiñ
jahāñ ko ham sarāsar jalva-e-dīdār kahte haiñ
jise tum ghair samjhe ho use hum yar kahte hain
jahan ko hum sarasar jalwa-e-didar kahte hain
tū haqīqat-e-kul hai vahm ġhair-e-bātil hai
balki vahm-e-bātil bhī haq to ye hai tū hī hai
tu haqiqat-e-kul hai wahm ghair-e-baatil hai
balki wahm-e-baatil bhi haq to ye hai tu hi hai
har jagah jab tumhīñ ho ġhair nahīñ
donoñ-ālam meñ barmalā ho tum
har jagah jab tumhin ho ghair nahin
donon-alam mein barmala ho tum
ġhair hī kyā be-ruḳhī se aap kī
aaj 'bedam' bhī bahut be-dil gayā
ghair hi kya be-ruKHi se aap ki
aaj 'bedam' bhi bahut be-dil gaya
yahāñ iġhmāz tum kar lo vahāñ dekheñge mahshar meñ
chhuḌānā ġhair se dāman ko aur mujh se garebāñ ko
yahan ighmaz tum kar lo wahan dekhenge mahshar mein
chhuDana ghair se daman ko aur mujh se gareban ko
ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
ġhair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar
ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab
ġhair-e-harf-e-niyāz so bhī kabhū
kah sakūñ huuñ majāl hai kuchh aur
ġhair-e-harf-e-niyāz so bhī kabhū
kah sakūñ huñ majāl hai kuchh aur
juz tere nahīñ ġhair ko rah dil ke nagar meñ
jab se ki tire ishq kā yaañ nazm-o-nasaq hai
juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar mein
jab se ki tere ishq ka yan nazm-o-nasaq hai
mujh ko tum ko ġhair ne rusvā kiyā
kah bhī do achchhā kiyā achchhā kiyā
mujh ko tum ko ghair ne ruswa kiya
kah bhi do achchha kiya achchha kiya
gavārā kis ko ho saaqī ye bū-e-ġhair sahbā ke
kisī ne pī hai sāġhar meñ jo bū hai ġhair-e-sāġhar meñ
gawara kis ko ho saqi ye bu-e-ghair sahba ke
kisi ne pi hai saghar mein jo bu hai ghair-e-saghar mein
aaj phir 'bedam' kī hālat ġhair hai
mai-kasho lenā zarā dekho gayā
aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai
mai-kasho lena zara dekho gaya
unhīñ kī chheḌ thī is rañg meñ bhī
ḳhayāl-e-ġhair thā bātil hamārā
unhin ki chheD thī is rang mein bhi
KHayal-e-ghair tha baatil hamara
ġhair-e-jauhar nahīñ e'rāz se un ko kuchh kaam
rañg-o-bū per nahīñ sāhib-nazrāñ jaate haiñ
ghair-e-jauhar nahin e'raaz se un ko kuchh kaam
rang-o-bu per nahin sahib-nazran jate hain
ġhair muñh taktā rahā maiñ arz-e-matlab kar chukā
mujh se un se āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāra ho gayā
ghair munh takta raha main arz-e-matlab kar chuka
mujh se un se aankhon aankhon mein ishaara ho gaya
ab ġhair se bhī terī mulāqāt rah ga.ī
sach hai ki vaqt jaatā rahā baat rah ga.ī
ab ghair se bhi teri mulaqat rah gai
sach hai ki waqt jata raha baat rah gai
vo sar aur ġhair ke dar par jhuke taubā ma.āz-allāh
ki jis sar kī rasā.ī tere sañg-e-āstāñ tak hai
wo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz-allah
ki jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai
nahīñ paḌte haiñ zamīñ par jo tire naqsh-e-qadam
kyuuñ uḌe rañg-e-hinā ġhair ke ghar jaane meñ
nahin paDte hain zamin par jo tere naqsh-e-qadam
kyun uDe rang-e-hina ghair ke ghar jaane mein
ġhair ke aage dil kī baat 'bayāñ'
aah merī zabān par aa.ī
ghair ke aage dil ki baat 'bayan'
aah meri zaban par aai
dil miTā jaatā hai aaj un kā ye aalam dekh kar
sharmgīñ haiñ ġhair se sargoshiyāñ hone ke ba.ad
dil miTa jata hai aaj un ka ye aalam dekh kar
sharmgin hain ghair se sargoshiyan hone ke baad
takiye meñ kyā rakhā hai ḳhat-e-ġhair kī tarah
dekhūñ to maiñ navishta-e-qismat mirā na ho
takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah
dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho
kuchh na ho ai inqilāb-e-āsmāñ itnā to ho
ġhair kī qismat badal jaa.e merī taqdīr se
kuchh na ho ai inqilab-e-asman itna to ho
ghair ki qismat badal jae meri taqdir se
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere