Sufinama

Ilm Shayari

gar aflātūn-o-luqmānī ba-ilm

man ba-yak dīdār nādānat kunam

gar aflātūn-o-luqmānī ba-ilm

man ba-yak dīdār nādānat kunam

Rumi
  • Share this
  • Critique

paḌh paḌh ilam hazār kitābāñ aalim ho.e bhāre

harf ik ishq paḌh na jānan bhulle phiran vichāre

paDh paDh ilam hazar kitaban aalim hoe bhaare hu

harf ek ishq da paDh na jaanan bhulle phiran wichaare hu

Sultan Bahu
  • Share this
  • Critique

nahīñ thī ilm vahāñ kuchh tamīz

o ijmāle vahdat meñ paayā aziiz

nahin thi ilm ku wahan kuchh tamiz

o ijmale wahdat mein paya aziz

Unknown
  • Share this
  • Critique

kamāl-e-ilm-o-tahqīq-e-mukammal ye hāsil hai

tirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai

kamal-e-ilm-o-tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai

tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai

Seemab Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

tumheñ ilm kuchh jo ho ālimo to batā do mujh ko na chup raho

ki sharāb-e-ishq mast huuñ ye halāl hai ki harām hai

tumhein ilm kuchh jo ho aalimo to bata do mujh ko na chup raho

ki sharab-e-ishq ka mast hun ye halal hai ki haram hai

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

vahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

haq ye hai baap se afzūñ rahe ustād haq

wahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

haq ye hai bap se afzūñ rahe ustād haq

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
  • Share this
  • Critique

ilm vāloñ ko shahādat sabaq ne diyā

mar ke bhī zinda rahe insāñ ye haq ne diyā

ilm walon ko shahadat ka sabaq tu ne diya

mar ke bhi zinda rahe insan ye haq tu ne diya

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

itnī baat na būjhī logāñ aap nibhātā karī so kuue

ilm qudrat jis thorā hove majbūr vichārā ho.e

itni baat na bujhi logan aap nibhata kari so kue

ilm qudrat jis thora howe ki majbur wichaara hoe

Shah Ali Jeev Gamdhani
  • Share this
  • Critique

guñg ho jaa.eñ bas ik aan meñ sab ahl-e-zabāñ

ek ummī ko jo ilm masdar kar de

gung ho jaen bas ek aan mein sab ahl-e-zaban

ek ummi ko jo tu ilm ka masdar kar de

Sattar Warsi
  • Share this
  • Critique

rahmatallil .ālamīn

āīña-e-rahmat badan sāñseñ charāġh-e-’ilm-o-fan

ya rahmatallil aalamin

aaina-e-rahmat badan sansen charagh-e-’ilm-o-fan

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

ilm aur fazl ke dīn-o-īmān ke aql par merī 'kāvish' the parde paḌe

saare parde uThā kar koī ab mujhe apnā jalva dikhā.e to maiñ kyā karūñ

ilm aur fazl ke din-o-iman ke aql par meri 'kawish' the parde paDe

sare parde uTha kar koi ab mujhe apna jalwa dikhae to main kya karun

  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now