gar tū aflātūn-o-luqmānī ba-ilm
man ba-yak dīdār nādānat kunam
gar tū aflātūn-o-luqmānī ba-ilm
man ba-yak dīdār nādānat kunam
paḌh paḌh ilam hazār kitābāñ aalim ho.e bhāre hū
harf ik ishq dā paḌh na jānan bhulle phiran vichāre hū
paDh paDh ilam hazar kitaban aalim hoe bhaare hu
harf ek ishq da paDh na jaanan bhulle phiran wichaare hu
nahīñ thī ilm kū vahāñ kuchh tamīz
o ijmāle vahdat meñ paayā aziiz
nahin thi ilm ku wahan kuchh tamiz
o ijmale wahdat mein paya aziz
vahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh
haq ye hai baap se afzūñ rahe ustād kā haq
wahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh
haq ye hai bap se afzūñ rahe ustād kā haq
kamāl-e-ilm-o-tahqīq-e-mukammal kā ye hāsil hai
tirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai
kamal-e-ilm-o-tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai
tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai
tumheñ ilm kuchh jo ho ālimo to batā do mujh ko na chup raho
ki sharāb-e-ishq kā mast huuñ ye halāl hai ki harām hai
tumhein ilm kuchh jo ho aalimo to bata do mujh ko na chup raho
ki sharab-e-ishq ka mast hun ye halal hai ki haram hai
ilm vāloñ ko shahādat kā sabaq tū ne diyā
mar ke bhī zinda rahe insāñ ye haq tū ne diyā
ilm walon ko shahadat ka sabaq tu ne diya
mar ke bhi zinda rahe insan ye haq tu ne diya
itnī baat na būjhī logāñ aap nibhātā karī so kuue
ilm qudrat jis thorā hove kī majbūr vichārā ho.e
itni baat na bujhi logan aap nibhata kari so kue
ilm qudrat jis thora howe ki majbur wichaara hoe
ilm aur fazl ke dīn-o-īmān ke aql par merī 'kāvish' the parde paḌe
saare parde uThā kar koī ab mujhe apnā jalva dikhā.e to maiñ kyā karūñ
ilm aur fazl ke din-o-iman ke aql par meri 'kawish' the parde paDe
sare parde uTha kar koi ab mujhe apna jalwa dikhae to main kya karun
guñg ho jaa.eñ bas ik aan meñ sab ahl-e-zabāñ
ek ummī ko jo tū ilm kā masdar kar de
gung ho jaen bas ek aan mein sab ahl-e-zaban
ek ummi ko jo tu ilm ka masdar kar de
yā rahmatallil .ālamīn
āīña-e-rahmat badan sāñseñ charāġh-e-’ilm-o-fan
ya rahmatallil aalamin
aaina-e-rahmat badan sansen charagh-e-’ilm-o-fan
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere