mujhe ishq ne ye patā diyā ki na hijr hai na visāl hai
usī zaat kā maiñ zuhūr huuñ ye jamāl usī kā jamāl hai
mujhe ishq ne ye pata diya ki na hijr hai na visal hai
usi zat ka main zuhur hun ye jamal usi ka jamal hai
har tamannā ishq meñ harf-e-ġhalat
āshiqī meñ mānī-e-hāsil fareb
har tamanna ishq mein harf-e-ghalat
aashiqi mein mani-e-hasil fareb
ishq maahī de lā.iyāñ aggīñ laggī kaun bujhāve hū
maiñ kī jānāñ zaat ishq jo dar dar jā jhukāve hū
ishq mahi de laiyan aggin laggi kaun bujhawe hu
main ki jaanan zat ishq jo dar dar ja jhukawe hu
indar kalma kal-kal kardā ishq sikhāyā kalma hū
chaudāñ tabqe kalme andar chhaD kitābāñ almāñ hū
indar kalma kal-kal karda ishq sikhaya kalma hu
chaudan tabqe kalme andar chhaD kitaban alman hu
jis manzūl nuuñ ishq pahuñchāve īmān ḳhabar na koī hū
ishq salāmat rakkhīñ 'āhū' deyāñ īmān dharoī hū
jis manzul nun ishq pahunchawe iman KHabar na koi hu
ishq salamat rakkhin 'ahu' deyan iman dharoi hu
ar-rūho fidāka fazid harqā yak sho.ala digar barzan ishqā
morā tan man dhan sab phūñk diyā ye jaañ bhī piyāre jalā jaanā
ar-ruho fidaka fazid harqa yak shoala digar barzan ishqa
mora tan man dhan sab phunk diya ye jaan bhi piyare jala jaana
īmān salāmat har koī mañge ishq salāmat koī hū
jis manzal nuuñ ishq pahuñchāve īmān ḳhabar na koī hū
iman salamat har koi mange ishq salamat koi hu
jis manzal nun ishq pahunchawe iman KHabar na koi hu
murshid makka tālib haajī ka.aba ishq baḌāyā hū
vich huzūr sadā har vele kariye haj savāyā hū
murshid makka talib haji kaba ishq baDaya hu
wich huzur sada har wele kariye haj sawaya hu
āshiq ishq maahī de koloñ phiran hamesha khīve hū
jīnde jaan maahī nuuñ Dittī dohīñ jahānīñ jiive hū
aashiq ishq mahi de kolon phiran hamesha khiwe hu
jinde jaan mahi nun Ditti dohin jahanin jiwe hu
mazmūn ye 'ishq' dil meñ mere aayā
is ramz-e-risālat ko nazar se paayā
mazmun ye 'ishq' dil mein mere aaya
is ramz-e-risalat ko nazar se paya
husn-mahv-e-rang-o-bū hai ishq ġharq-e-hā.e-o-hū
har gulistāñ us taraf hai har bayābāñ is taraf
husn-mahw-e-rang-o-bu hai ishq gharq-e-hae-o-hu
har gulistan us taraf hai har bayaban is taraf
andar bhaa.ī andar bālan andar de vich dhūhāñ hū
shāh-rag thiiñ rabb neḌe laddhā ishq kītām jad sūhāñ hū
andar bhai andar baalan andar de wich dhuhan hu
shah-rag thin rabb neDe laddha ishq kitam jad suhan hu
ishq ko be-naqāb honā thā
aap apnā javāb honā thā
ishq ko be-naqab hona tha
aap apna jawab hona tha
āshiq ho te ishq kamā dil rakkhīñ vaañg pahāḌāñ hū
sai sai badiyāñ lakkh ulāhameñ jānīñ bāġh-bahārāñ hū
aashiq ho te ishq kama dil rakkhin wang pahaDan hu
sai sai badiyan lakkh ulahamen jaanin bagh-bahaaran hu
ishq meñ aisā ik a.alam bhī guzar jaatā hai
zahn-o-idrāk kā ehsās bhī mar jaatā hai
ishq mein aisa ek aalam bhi guzar jata hai
zahn-o-idrak ka ehsas bhi mar jata hai
īmān salāmat har koī mañge ishq salāmat koī hū
māñgan īmān sharmāvan ishqoñ dil nuuñ ġhairat hoī hū
iman salamat har koi mange ishq salamat koi hu
mangan iman sharmawan ishqon dil nun ghairat hoi hu
ishq dī gall avallī jehaḌā shar.ā thiiñ duur haTāve hū
qaazī chhoḌ qazā.ī jaan jad ishq tamāñcha laave hū
ishq di gall awalli jehaDa shara thin dur haTawe hu
qazi chhoD qazai jaan jad ishq tamancha lawe hu
ishq ne toḌī sar pe qayāmat zor-e-qayāmat kyā kahiye
sunñe vaalā koī nahīñ rūdād-e-mohabbat kyā kahiye
ishq ne toDi sar pe qayamat zor-e-qayamat kya kahiye
sunne wala koi nahin rudad-e-mohabbat kya kahiye
ishq ḳhud mā.il-e-hijāb hai aaj
husn majbūr-e-iztirāb hai aaj
ishq ḳhud māil-e-hijāb hai aaj
husn majbūr-e-iztirāb hai aaj
pāk-bāzī apnī paiġhām-e-talab thī ishq meñ
dho ke dāġh-e-tohmat-e-hastī safar darkār thā
pak-bazi apnī paigham-e-talab thi ishq mein
dho ke dagh-e-tohmat-e-hasti safar darkar tha
dīvāna shud zū ishq ham nāgah bar-āvard ātishī
shud raḳht-e-shahrī soḳhta ḳhāshāk-e-īñ vīrāna ham
diwana shud zu ishq hum nagah bar-award aatishi
shud raKHt-e-shahri soKHta KHashak-e-in virana hum
butoñ kā ishq huā jab nasīb vaa.iz
ki muddatoñ kiyā pahle ḳhudā ḳhudā ham ne
buton ka ishq hua jab nasib waiz
ki muddaton kiya pahle KHuda KHuda hum ne
is chaman kī sair meñ ai gul-ezār
'ishq' kī āñkhoñ meñ tūfāñ yā-nasīb
is chaman ki sair mein ai gul-ezar
'ishq' ki aankhon mein tufan ya-nasib
ye ishq kī hai sarkār 'ahqar' ġhussa bhī yahāñ hai pyaar bhī hai
har zaḳhm-e-jigar ke phāhe meñ kāfūr bhī hai zañgār bhī hai
ye ishq ki hai sarkar 'ahqar' ghussa bhi yahan hai pyar bhi hai
har zaKHm-e-jigar ke phahe mein kafur bhi hai zangar bhi hai
ishq kī barbādiyoñ ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
bastiyāñ niklīñ jinheñ vīrāniyāñ samjhā thā maiñ
ishq ki barbaadiyon ko raegan samjha tha main
bastiyan niklin jinhen viraniyan samjha tha main
chu nai ḳhālī shudam az ārzūhā laik ishq-e-ū
ba-gosham mī-damad harfe ki man nā-chār mī-nālam
chu nai KHali shudam az aarzuha laik ishq-e-u
ba-gosham mi-damad harfe ki man na-chaar mi-nalam
mañgan īmān sharmāvan ishqoñ dil nuuñ ġhairat hoī hū
ishq salāmat rakkhīñ 'āhū' deyāñ īmān dharoī hū
mangan iman sharmawan ishqon dil nun ghairat hoi hu
ishq salamat rakkhin 'ahu' deyan iman dharoi hu
ishq meñ pūjtā huuñ qibla-o-ka.aba apnā
ek pal dil ko mire us ke bin ārām nahīñ
ishq mein pujta hun qibla-o-kaba apna
ek pal dil ko mere us ke bin aaram nahin
sochā kabhī na ishq meñ kuchh pyaar ke sivā
hasrat koī na kī tere dīdār ke sivā
socha kabhi na ishq mein kuchh pyar ke siwa
hasrat koi na ki tere didar ke siwa
maqdūr kyā jo kah sukūñ kuchh ramz-e-ishq ko
juuñ sham.a huuñ agarche sarāpā zabān-e-ishq
maqdur kya jo kah sukun kuchh ramz-e-ishq ko
jun shama hun agarche sarapa zaban-e-ishq
jin.hāñ ishq haqīqī paaya mūhoñ nā alāvat hū
zikar fikar vich rahan hamesha dam nuuñ qaid lagāvan hū
jinhan ishq haqiqi paya muhon na alawat hu
zikar fikar wich rahan hamesha dam nun qaid lagawan hu
ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho
aish-o-nishāt-e-zindagī chhoḌ diyā jo ho so ho
ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
aish-o-nishat-e-zindagi chhoD diya jo ho so ho
jis kī nazar 'ishq' ke uupar paḌī
chashm ke ta.iiñ apnī vo tar kar gayā
jis ki nazar 'ishq' ke upar paDi
chashm ke tain apni wo tar kar gaya
ishq kā dard-e-be-davā hai ye
jaane terī balā ki kyā hai ye
ishq kā dard-e-be-dawā hai ye
jaane terī balā ki kyā hai ye
dilbar meñ dil yā dilbar dil meñ hai
'ishq' us ko batā kis tarah se ġhair kahūñ
dilbar mein dil ya dilbar dil mein hai
'ishq' us ko bata kis tarah se ghair kahun
pahuñchā hai jab se ishq kā mujh ko salām-e-ḳhās
dil ke nagīñ pe tab se khudāyā hai nām-e-ḳhās
pahuncha hai jab se ishq ka mujh ko salam-e-KHas
dil ke nagin pe tab se khudaya hai nam-e-KHas
har qadam ke saath manzil lekin is kā kyā ilaaj
ishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
har qadam ke sath manzil lekin is ka kya ilaj
ishq hi kam-baKHt manzil-ashna hota nahin
ishq har-chand mirī jaan sadā khātā hai
par ye lazzat to vo hai jī hī jise paatā hai
ishq har-chand mirī jaan sadā khātā hai
par ye lazzat to wo hai jī hī jise patā hai
koī kyā samjhe ki kyā kartā hai ishq
har dam ik fitna bapā kartā hai ishq
koi kya samjhe ki kya karta hai ishq
har dam ek fitna bapa karta hai ishq
ishq āsānūñ lisyāñ jaatā kar ke aave dhaa.ī hū
jit val vekhāñ ishq disīve ḳhālī jā na kaa.ī hū
ishq aasanun lisyan jata kar ke aawe dhai hu
jit wal wekhan ishq disiwe KHali ja na kai hu
lazzateñ diiñ ġhāfiloñ ko qāsim-e-hushiyār ne
ishq kī qismat huī duniyā meñ ġham khāne kī tarah
lazzaten din ghafilon ko qasim-e-hushiyar ne
ishq ki qismat hui duniya mein gham khane ki tarah
'ishq' āshiq huā usī kuuñ dekh
dil-e-nālāñ ba-rañg-e-ūd huā
'ishq' aashiq hua usi kun dekh
dil-e-nalan ba-rang-e-ud hua
husn-e-butāñ kā ishq merī jaan ho gayā
ye kufr ab to hāsil-e-īmān ho gayā
husn-e-butāñ kā ishq merī jaan ho gayā
ye kufr ab to hāsil-e-īmān ho gayā
har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā
merā dil bas tirī tasvīr kā dīvāna rahā
har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā
merā dil bas tirī taswīr kā dīwāna rahā
agar ishq ast be-bākāna mī-raqs
ba-shauq-e-ka.aba dar but-ḳhāna mī-raqs
agar ishq ast be-bakana mi-raqs
ba-shauq-e-kaba dar but-KHana mi-raqs
haañ vahī ishq-o-mohabbat kī jilā hotī hai
jo ibādat dar-e-jānāñ pe adā hotī hai
hañ wahī ishq-o-mohabbat kī jilā hotī hai
jo ibādat dar-e-jānāñ pe adā hotī hai
ai ishq atā kar de aisā mujhe kāshāna
jo ka.abe kā ka.aba ho but-ḳhāne kā but-ḳhāna
ai ishq ata kar de aisa mujhe kashana
jo kabe ka kaba ho but-KHane ka but-KHana
dil ishq meñ hotā hai mā.il-ba-fuġhāñ pahle
jab aag sulagtī hai uThtā hai dhuāñ pahle
dil ishq mein hota hai mail-ba-fughan pahle
jab aag sulagti hai uThta hai dhuan pahle
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere