hosh na thā be-hoshī thī be-hoshī meñ phir hosh kahāñ
yaad rahī ḳhāmoshī thī jo bhuul ga.e afsāna thā
hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi mein phir hosh kahan
yaad rahi KHamoshi thi jo bhul gae afsana tha
jism kā resha resha machle dard-e-mohabbat faash kare
ishaq meñ 'kāvish' ḳhāmoshī to suḳhanvarī se mushkil hai
jism ka resha resha machle dard-e-mohabbat fash kare
ishaq mein 'kawish' KHamoshi to suKHanwari se mushkil hai
tarīq-e-ishq meñ rahbar hai apnī ḳhāmoshī
jaras kā kaam nahīñ mere kārvāñ ke liye
tariq-e-ishq mein rahbar hai apni KHamoshi
jaras ka kaam nahin mere karwan ke liye
maiñ sāz-e-haqīqat huuñ dam-sāz-e-haqīqat huuñ
ḳhāmoshī hai goyā.ī goyā.ī hai ḳhāmoshī
main saz-e-haqiqat hun dam-saz-e-haqiqat hun
KHamoshi hai goyai goyai hai KHamoshi
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere