us ne ḳhat bhejā jo mujh ko Daak par Daaka paḌā
yaar kyā kartā na thā mere muqaddar kā javāb
us ne KHat bheja jo mujh ko Dak par Daka paDa
yar kya karta na tha mere muqaddar ka jawab
halkī sī ik ḳharāsh hai qāsid ke halaq par
ye ḳhat javāb-e-ḳhat hai ki ḳhat kī rasīd hai
halki si ek KHarash hai qasid ke halaq par
ye KHat jawab-e-KHat hai ki KHat ki rasid hai
duā kah kar chalā banda salām aa kar karegā phir
ḳhat aave jab talak to bandagī se ḳhuub jaatā hai
dua kah kar chala banda salam aa kar karega phir
KHat aawe jab talak to bandagi se KHub jata hai
ruḳh pe har sūrat se rakhnā gul-ruḳhāñ ḳhat kā hai kufr
dekho qur.āñ par na rakhiyo bostāñ bahr-e-ḳhudā
ruKH pe har surat se rakhna gul-ruKHan KHat ka hai kufr
dekho quran par na rakhiyo bostan bahr-e-KHuda
ḳhat ke le jaane ko vahāñ koī mayassar na huā
durr huā ashk sad-afsos kabūtar na huā
KHat ke le jaane ko wahan koi mayassar na hua
durr hua ashk sad-afsos kabutar na hua
ilāhī 'āsī'-e-betāb kis se chhūTā hai
ki ḳhat meñ roz-e-qayāmat likhā hai naam ke ba.ad
ilahi 'asi'-e-betab kis se chhuTa hai
ki KHat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad
ḳhuddārī-o-mahrūmī mahrūmī-o-ḳhuddārī
ab dil ko ḳhudā rakhe ab dil kā zamānā hai
KHuddari-o-mahrumi mahrumi-o-KHuddari
ab dil ko KHuda rakhe ab dil ka zamana hai
ḳhat-e-qismat miTāte ho magar itnā samajh lenā
ye harf-e-ārzū hāthoñ kī rañgat le ke uTTheñge
KHat-e-qismat miTate ho magar itna samajh lena
ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke uTThenge
vo kaun din hai ki ġhairoñ ko ḳhat nahīñ likhtā
qalam ke ban ko lage aag aur jale kāġhaz
wo kaun din hai ki ghairon ko KHat nahin likhta
qalam ke ban ko lage aag aur jale kaghaz
ātishīñ ruḳh par tire dekhe araq-ālūd ḳhat
jis ne gar sabza kabhū dekhā na ho tar aag meñ
aatishin ruKH par tere dekhe araq-alud KHat
jis ne gar sabza kabhu dekha na ho tar aag mein
ḳhat ke aane se paḌā hai shor mulk-e-husn meñ
daan kar sūraj-gahan kahte haiñ ai dilbar lagā
KHat ke aane se paDa hai shor mulk-e-husn mein
dan kar suraj-gahan kahte hain ai dilbar laga
mere siina par tum baiTho galā talvār se kaaTo
ḳhat-e-taqdīr maiñ samjhūñ ḳhat-e-shamshīr-e-burrāñ ko
mere sina par tum baiTho gala talwar se kaTo
KHat-e-taqdir main samjhun KHat-e-shamshir-e-burran ko
ai qāsid-e-ashk-o-paik sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā
tum kyā kaaro haañ qismat kā likhā ye bhī na huā vo bhī na huā
ai qasid-e-ashk-o-paik saba us tak na payam-o-KHat pahuncha
tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua
takiye meñ kyā rakhā hai ḳhat-e-ġhair kī tarah
dekhūñ to maiñ navishta-e-qismat mirā na ho
takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah
dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho
nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ
hai saaf to yuuñ tujh sā numūdār kahāñ hai
nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ
hai saf to yuñ tujh sā numūdār kahāñ hai
ye bhī qismat kā likhā apnī ki us ne yaaro
le ke ḳhat haath se qāsid kī na merā kholā
ye bhi qismat ka likha apni ki us ne yaro
le ke KHat hath se qasid ki na mera khola
nāma-bar ḳhat de ke us ko lafz kuchh mat boliyo
dam-ba-ḳhud rahiyo terī taqrīr kī hājat nahīñ
nama-bar KHat de ke us ko lafz kuchh mat boliyo
dam-ba-KHud rahiyo teri taqrir ki hajat nahin
kahtā huuñ ye un ke tasavvur se ai dushman-e-hastī-e-vahmī
jab Thahrā maiñ ik mauj-e-ravāñ ḳhat-e-mauj kī tarah miTā de mujhe
kahta hun ye un ke tasawwur se ai dushman-e-hasti-e-wahmi
jab Thahra main ek mauj-e-rawan KHat-e-mauj ki tarah miTa de mujhe
jab bhī ḳhat likhne baiThe unheñ
sirf le kar qalam rah ga.e
jab bhi KHat likhne baiThe unhen
sirf le kar qalam rah gae
paḌh ke terā ḳhat mire dil kī ajab hālat huī
iztirāb-e-shauq ne ik hashr barpā kar diyā
paDh ke tera KHat mere dil ki ajab haalat hui
iztirab-e-shauq ne ek hashr barpa kar diya
us ne likkhā ḳhat meñ ye shikva na karnā jaur kā
ham ne likh bhejā hai itnā apnī ye aadat nahīñ
us ne likkha KHat mein ye shikwa na karna jaur ka
hum ne likh bheja hai itna apni ye aadat nahin
phir na aayā phir ke gar vo nāma-bar achchhā huā
ḳhat kitābat uTh ga.ī ai sīm-bar achchhā huā
phir na aaya phir ke gar wo nama-bar achchha hua
KHat kitabat uTh gai ai sim-bar achchha hua
qāsid kī ummīd hai yaaro qāsid to aa jā.egā
lekin ham us vaqt na hoñge jab un kā ḳhat aa.egā
qasid ki ummid hai yaro qasid to aa jaega
lekin hum us waqt na honge jab un ka KHat aaega
un kā ḳhat aane se taskīn huī thī dil ko
jab ye dekhā ki likhā kyā to likhā kuchh bhī nahīñ
un ka KHat aane se taskin hui thi dil ko
jab ye dekha ki likha kya to likha kuchh bhi nahin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere