Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Khauf Shayari

kuchh to kar ḳhauf-e-ḳhudā dil meñ ai zālim apne

dil-e-ushshāq ko is tarah se barbād na kar

kuchh to kar KHauf-e-KHuda dil mein ai zalim apne

dil-e-ushshaq ko is tarah se barbaad na kar

Banke Lal
  • Share this
  • Critique

mohabbat ḳhauf-e-rusvā.ī baa.is ban jaatī hai

tarīq-e-ishq meñ apnoñ se pardā ho jaatā hai

mohabbat KHauf-e-ruswai ka bais ban hi jati hai

tariq-e-ishq mein apnon se parda ho hi jata hai

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mire sayyād ko bā-vasf-e-asīrī hai ye ḳhauf

maiñ qafas meñ bhī banā lūñgā gulistāñ koī

mere sayyaad ko ba-wasf-e-asiri hai ye KHauf

main qafas mein bhi bana lunga gulistan koi

Hayat Warsi
  • Share this
  • Critique

ik chehre se pyaar karūñ maiñ ik se ḳhauf lage hai mujh ko

ik chehra ik ā.īna hai ik chehra patthar lagtā hai

ek chehre se pyar karun main ek se KHauf lage hai mujh ko

ek chehra ek aaina hai ek chehra patthar lagta hai

Wasif Ali Wasif
  • Share this
  • Critique

na nashāt-e-visāl na hijr ġham na ḳhayāl-e-bahār na ḳhauf-e-ḳhizāñ

na saqar ḳhatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se ġharaz

na nashat-e-visal na hijr ka gham na KHayal-e-bahaar na KHauf-e-KHizan

na saqar ka KHatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

banda qusūr-vār hai ḳhāliq mirā ġhafūr

ab ḳhauf dal meñ bhalā ham kabhū kareñ

banda qusur-war hai KHaliq mera ghafur

ab KHauf dal mein bhala hum kabhu karen

Ata Hussain Fani
  • Share this
  • Critique

bāda-ḳhvār tum ko kyā ḳhurshīd-e-mahshar hai ḳhauf

chhā rahā hai abr-e-rahmat shāmiyāne tarah

baada-KHwar tum ko kya KHurshid-e-mahshar ka hai KHauf

chha rahā hai abr-e-rahmat shamiyane ki tarah

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

ulvī ko ze bas thā ḳhauf-e-ġhinā kahā yaar ne bā-hamā lutf-o-atā

kiyūñ Dartā hai aa āġhaush meñ aa aur nahīñ main aur nahīñ

ulwi ko ze bas tha KHauf-e-ghina kaha yar ne ba-hama lutf-o-ata

kiyun Darta hai aa aaghaush mein aa tu aur nahin main aur nahin

Imdad Ali Ulvi
  • Share this
  • Critique

ātish-e-dozaḳh ham tar-dāmanoñ ko kyā hai ḳhauf

vā.izā jaltī nahīñ hai haizam-e-tar aag meñ

aatish-e-dozaKH ka hum tar-damanon ko kya hai KHauf

waiza jalti nahin hai haizam-e-tar aag mein

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

jo marne se muue pahle unheñ kyā ḳhauf dozaḳh

dil apnā nār-e-hijrat se jalā le jis chāhe

jo marne se mue pahle unhen kya KHauf dozaKH ka

dil apna nar-e-hijrat se jala le jis ka ji chahe

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

irāda aaj be-ḳhauf-o-ḳhatar hai un mahfil

mohabbat meñ koī dekhe to ye dīvāna-pan apnā

irada aaj be-KHauf-o-KHatar hai un ki mahfil ka

mohabbat mein koi dekhe to ye diwana-pan apna

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

gulzār meñ duniyā ke huuñ jo naḳhl-e-bhuchampā

ḳhvāhish na samar na miyāñ ḳhauf qahr

gulzar mein duniya ke hun jo naKHl-e-bhuchampa

KHwahish na samar ki na miyan KHauf qahr ka

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

ḳhizāñ ḳhauf thā jin ko chaman meñ

unhīñ phūloñ ke chehre zard nikle

KHizan ka KHauf tha jin ko chaman mein

unhin phulon ke chehre zard nikle

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

āshiq-e-jāñ-nisār ko ḳhauf nahīñ hai marg

terī taraf se ai sanam jaur-o-jafā jo ho so ho

aashiq-e-jaan-nisar ko KHauf nahin hai marg ka

teri taraf se ai sanam jaur-o-jafa jo ho so ho

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

ho gayā dām-e-ḳhauf-e-ġham se rihā

jo tumhārā asīr-e-gesū hai

ho gaya dam-e-KHauf-e-gham se riha

jo tumhaara asir-e-gesu hai

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

dil-e-be-tāb sañbhal ḳhauf hai rusvā.ī

haal dekhe na koī muztaribānā terā

dil-e-be-tab sanbhal KHauf hai ruswai ka

haal dekhe na koi muztaribana tera

Kaifi Hyderabadi
  • Share this
  • Critique

hai kyā ḳhauf 'ārif' ko mahshar ke din

vakālat pe jab piir muḳhtār ho

hai kya KHauf 'arif' ko mahshar ke din

wakalat pe jab pir muKHtar ho

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

nahīñ aatī qazā maqtal meñ ḳhauf-e-teġh-e-qātil se

ilāhī ḳhai kiyūñ-kar dam tan-e-bismil se niklegā

nahin aati qaza maqtal mein KHauf-e-tegh-e-qatil se

ilahi KHai kiyun-kar dam tan-e-bismil se niklega

Hasham Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

josh-e-junūñ meñ dāġh-e-jigar mere bhare

gulchīñ hamāre baaġh ko ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ

josh-e-junun mein dagh-e-jigar mere bhare

gulchin hamare bagh ko KHauf-e-KHizan nahin

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

hujūm-e-dāġh-e-mohabbat meñ lāla-zār huuñ maiñ

ḳhizāñ ḳhauf nahīñ jisko vo bahār huuñ maiñ

hujum-e-dagh-e-mohabbat mein lala-zar hun main

KHizan ka KHauf nahin jisko wo bahaar hun main

Najeeb Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

ḳhūb-rū ḳhud aa mile jab phir kisī ḳhauf kyā

ye vo jaadū hai jise tasḳhīr hājat nahīñ

KHub-ru KHud aa mile jab phir kisi ka KHauf kya

ye wo jadu hai jise tasKHir ki hajat nahin

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

guuḌh zulmāt andher ġhubārāñ raah ne ḳhauf ḳhatar de

aab hayāt munavvar chashme saa.e zulaf ambar de

guDh zulmat andher ghubaran rah ne KHauf KHatar de hu

aab hayat munawwar chashme sae zulaf ambar de hu

Sultan Bahu
  • Share this
  • Critique

kūcha-e-jānāñ meñ jaanā hai muhāl

ḳhauf hai us sañg-dil ḳhuñḳhār se

kucha-e-jaanan mein jaana hai muhaal

KHauf hai us sang-dil KHunKHar se

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

ḳhauf-e-badnāmī se tujh paas na aa.e varna

ham ka.ī baar sun ai yaar uThe aur baiThe

ḳhauf-e-badnāmī se tujh pas na aae warna

hum kaī bar sun ai yar uThe aur baiThe

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
  • Share this
  • Critique

hairān hai tere maz.hab se sab gabrū musalmāñ ai 'ahqar'

ye us galī rasta hai pur-ḳhauf bhī hai pur-ḳhār bhī hai

hairan hai tere mazhab se sab gabru musalman ai 'ahqar'

ye us ki gali ka rasta hai pur-KHauf bhi hai pur-KHar bhi hai

Ahqar Bihari
  • Share this
  • Critique

jaan kuchh ḳhuf jāñbāzān-e-ulfat ko nahīñ

aap dikhlāteñ haiñ kyuuñ teġh-e-safhānī mujhe

jaan ka kuchh KHuf jaanbazan-e-ulfat ko nahin

aap dikhlaten hain kyun tegh-e-safhani mujhe

Sadiq Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

us ke kūche meñ kahāñ kashmakash-e-bīm-o-rajā

ḳhauf-e-dozaḳh bhī nahīñ ḳhvāhish-e-jannat bhī nahīñ

us ke kuche mein kahan kashmakash-e-bim-o-raja

KHauf-e-dozaKH bhi nahin KHwahish-e-jannat bhi nahin

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now