kuchh to kar ḳhauf-e-ḳhudā dil meñ ai zālim apne
dil-e-ushshāq ko is tarah se barbād na kar
kuchh to kar KHauf-e-KHuda dil mein ai zalim apne
dil-e-ushshaq ko is tarah se barbaad na kar
mohabbat ḳhauf-e-rusvā.ī kā baa.is ban hī jaatī hai
tarīq-e-ishq meñ apnoñ se pardā ho hī jaatā hai
mohabbat KHauf-e-ruswai ka bais ban hi jati hai
tariq-e-ishq mein apnon se parda ho hi jata hai
mire sayyād ko bā-vasf-e-asīrī hai ye ḳhauf
maiñ qafas meñ bhī banā lūñgā gulistāñ koī
mere sayyaad ko ba-wasf-e-asiri hai ye KHauf
main qafas mein bhi bana lunga gulistan koi
ik chehre se pyaar karūñ maiñ ik se ḳhauf lage hai mujh ko
ik chehra ik ā.īna hai ik chehra patthar lagtā hai
ek chehre se pyar karun main ek se KHauf lage hai mujh ko
ek chehra ek aaina hai ek chehra patthar lagta hai
na nashāt-e-visāl na hijr kā ġham na ḳhayāl-e-bahār na ḳhauf-e-ḳhizāñ
na saqar kā ḳhatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se ġharaz
na nashat-e-visal na hijr ka gham na KHayal-e-bahaar na KHauf-e-KHizan
na saqar ka KHatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz
banda qusūr-vār hai ḳhāliq mirā ġhafūr
ab ḳhauf dal meñ bhalā ham kabhū kareñ
banda qusur-war hai KHaliq mera ghafur
ab KHauf dal mein bhala hum kabhu karen
bāda-ḳhvār tum ko kyā ḳhurshīd-e-mahshar kā hai ḳhauf
chhā rahā hai abr-e-rahmat shāmiyāne kī tarah
baada-KHwar tum ko kya KHurshid-e-mahshar ka hai KHauf
chha rahā hai abr-e-rahmat shamiyane ki tarah
ulvī ko ze bas thā ḳhauf-e-ġhinā kahā yaar ne bā-hamā lutf-o-atā
kiyūñ Dartā hai aa āġhaush meñ aa tū aur nahīñ main aur nahīñ
ulwi ko ze bas tha KHauf-e-ghina kaha yar ne ba-hama lutf-o-ata
kiyun Darta hai aa aaghaush mein aa tu aur nahin main aur nahin
ātish-e-dozaḳh kā ham tar-dāmanoñ ko kyā hai ḳhauf
vā.izā jaltī nahīñ hai haizam-e-tar aag meñ
aatish-e-dozaKH ka hum tar-damanon ko kya hai KHauf
waiza jalti nahin hai haizam-e-tar aag mein
jo marne se muue pahle unheñ kyā ḳhauf dozaḳh kā
dil apnā nār-e-hijrat se jalā le jis kā jī chāhe
jo marne se mue pahle unhen kya KHauf dozaKH ka
dil apna nar-e-hijrat se jala le jis ka ji chahe
irāda aaj be-ḳhauf-o-ḳhatar hai un kī mahfil kā
mohabbat meñ koī dekhe to ye dīvāna-pan apnā
irada aaj be-KHauf-o-KHatar hai un ki mahfil ka
mohabbat mein koi dekhe to ye diwana-pan apna
gulzār meñ duniyā ke huuñ jo naḳhl-e-bhuchampā
ḳhvāhish na samar kī na miyāñ ḳhauf qahr kā
gulzar mein duniya ke hun jo naKHl-e-bhuchampa
KHwahish na samar ki na miyan KHauf qahr ka
ḳhizāñ kā ḳhauf thā jin ko chaman meñ
unhīñ phūloñ ke chehre zard nikle
KHizan ka KHauf tha jin ko chaman mein
unhin phulon ke chehre zard nikle
āshiq-e-jāñ-nisār ko ḳhauf nahīñ hai marg kā
terī taraf se ai sanam jaur-o-jafā jo ho so ho
aashiq-e-jaan-nisar ko KHauf nahin hai marg ka
teri taraf se ai sanam jaur-o-jafa jo ho so ho
ho gayā dām-e-ḳhauf-e-ġham se rihā
jo tumhārā asīr-e-gesū hai
ho gaya dam-e-KHauf-e-gham se riha
jo tumhaara asir-e-gesu hai
dil-e-be-tāb sañbhal ḳhauf hai rusvā.ī kā
haal dekhe na koī muztaribānā terā
dil-e-be-tab sanbhal KHauf hai ruswai ka
haal dekhe na koi muztaribana tera
hai kyā ḳhauf 'ārif' ko mahshar ke din
vakālat pe jab piir muḳhtār ho
hai kya KHauf 'arif' ko mahshar ke din
wakalat pe jab pir muKHtar ho
josh-e-junūñ meñ dāġh-e-jigar mere bhare
gulchīñ hamāre baaġh ko ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ
josh-e-junun mein dagh-e-jigar mere bhare
gulchin hamare bagh ko KHauf-e-KHizan nahin
ḳhūb-rū ḳhud aa mile jab phir kisī kā ḳhauf kyā
ye vo jaadū hai jise tasḳhīr kī hājat nahīñ
KHub-ru KHud aa mile jab phir kisi ka KHauf kya
ye wo jadu hai jise tasKHir ki hajat nahin
guuḌh zulmāt andher ġhubārāñ raah ne ḳhauf ḳhatar de hū
aab hayāt munavvar chashme saa.e zulaf ambar de hū
guDh zulmat andher ghubaran rah ne KHauf KHatar de hu
aab hayat munawwar chashme sae zulaf ambar de hu
kūcha-e-jānāñ meñ jaanā hai muhāl
ḳhauf hai us sañg-dil ḳhuñḳhār se
kucha-e-jaanan mein jaana hai muhaal
KHauf hai us sang-dil KHunKHar se
ḳhauf-e-badnāmī se tujh paas na aa.e varna
ham ka.ī baar sun ai yaar uThe aur baiThe
ḳhauf-e-badnāmī se tujh pas na aae warna
hum kaī bar sun ai yar uThe aur baiThe
hairān hai tere maz.hab se sab gabrū musalmāñ ai 'ahqar'
ye us kī galī kā rasta hai pur-ḳhauf bhī hai pur-ḳhār bhī hai
hairan hai tere mazhab se sab gabru musalman ai 'ahqar'
ye us ki gali ka rasta hai pur-KHauf bhi hai pur-KHar bhi hai
us ke kūche meñ kahāñ kashmakash-e-bīm-o-rajā
ḳhauf-e-dozaḳh bhī nahīñ ḳhvāhish-e-jannat bhī nahīñ
us ke kuche mein kahan kashmakash-e-bim-o-raja
KHauf-e-dozaKH bhi nahin KHwahish-e-jannat bhi nahin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere