Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Khizan Shayari

fasl-e-bahār meñ to qaid-e-qafas meñ guzrī

chhūTe jo ab qafas se to mausam-e-ḳhizāñ hai

fasl-e-bahaar mein to qaid-e-qafas mein guzri

chhuTe jo ab qafas se to mausam-e-KHizan hai

Hairat Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

vo bahār-e-umr ho ḳhizāñ nahīñ koī qābil-e-e'tinā

na yaqīñ thā mujh ko surūr per na hai e'tibār ḳhumār per

wo bahaar-e-umr ho ya KHizan nahin koi qabil-e-e'tina

na yaqin tha mujh ko surur per na hai e'tibar KHumar per

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

mirī samt se use ai sabā ye payām-e-āḳhir-e-ġham sunā

abhī dekhnā ho to dekh ki ḳhizāñ hai apnī bahār par

meri samt se use ai saba ye payam-e-aKHir-e-gham suna

abhi dekhna ho to dekh ja ki KHizan hai apni bahaar par

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

na nashāt-e-visāl na hijr ġham na ḳhayāl-e-bahār na ḳhauf-e-ḳhizāñ

na saqar ḳhatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se ġharaz

na nashat-e-visal na hijr ka gham na KHayal-e-bahaar na KHauf-e-KHizan

na saqar ka KHatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

afsurdagī bhī ruḳh pe hai un ke nikhār bhī

hai aaj gulsitāñ meñ ḳhizāñ bhī bahār bhī

afsurdagi bhi ruKH pe hai un ke nikhaar bhi

hai aaj gulsitan mein KHizan bhi bahaar bhi

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

vo adā-shanās-e-ḳhizāñ huuñ maiñ vo mizāj-dān-e-bahār huuñ

na hai e'tibār-e-ḳhizāñ mujhe na yaqīn fasl-e-bahār par

wo ada-shanas-e-KHizan hun main wo mizaj-dan-e-bahaar hun

na hai e'tibar-e-KHizan mujhe na yaqin fasl-e-bahaar par

Aziz Warsi Dehlvi
  • Share this
  • Critique

nau-asīr-e-furqat huuñ vasl-e-yār mujh se pūchh

ho ga.ī ḳhizāñ dam meñ sab bahār mujh se pūchh

nau-asir-e-furqat hun wasl-e-yar mujh se puchh

ho gai KHizan dam mein sab bahaar mujh se puchh

Nisar Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

josh-e-junūñ meñ dāġh-e-jigar mere bhare

gulchīñ hamāre baaġh ko ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ

josh-e-junun mein dagh-e-jigar mere bhare

gulchin hamare bagh ko KHauf-e-KHizan nahin

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

ḳhizāñ ḳhauf thā jin ko chaman meñ

unhīñ phūloñ ke chehre zard nikle

KHizan ka KHauf tha jin ko chaman mein

unhin phulon ke chehre zard nikle

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

lūTegā sab bahār tirī shahna-e-ḳhizāñ

bulbul par kar le zar-e-gul ko nisār shāḳh

luTega sab bahaar teri shahna-e-KHizan

bulbul par kar le tu zar-e-gul ko nisar shaKH

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

girya-e-fasl-e-ḳhizāñ vaqt aa pahuñchā qarīb

ai gulo dekho ye be-mauqa.a hañsī achchhī nahīñ

girya-e-fasl-e-KHizan ka waqt aa pahuncha qarib

ai gulo dekho ye be-mauqa hansi achchhi nahin

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mirā vaqt mujh se bichhaḌ gayā mirā rañg-rūp bigaḌ gayā

jo ḳhizāñ se baaġh ujaḌ gayā maiñ usī fasl-e-bahār huuñ

mera waqt mujh se bichhaD gaya mera rang-rup bigaD gaya

jo KHizan se bagh ujaD gaya main usi ki fasl-e-bahaar hun

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

baaġh se daur-e-ḳhizāñ sar jo Tapaktā niklā

qalb-e-bulbul ne ye jaanā merā kāñTā niklā

bagh se daur-e-KHizan sar jo Tapakta nikla

qalb-e-bulbul ne ye jaana mera kanTa nikla

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

faroġh-e-hasrat-o-ġham se jigar meñ daaġh rakhtā huuñ

mire gulshan zīnat daur-e-hañgām-e-ḳhizāñ tak hai

farogh-e-hasrat-o-gham se jigar mein dagh rakhta hun

mere gulshan ki zinat daur-e-hangam-e-KHizan tak hai

Wali Warsi
  • Share this
  • Critique

merī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī alam nahīñ

jise tere ġham se ho vāstā vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ

meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin

jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin

Shakeel Badayuni
  • Share this
  • Critique

ai asīrān-e-qafas aane ko hai fasl-e-ḳhizāñ

chār-din meñ aur gulshan havā ho jā.egī

ai asiran-e-qafas aane ko hai fasl-e-KHizan

chaar-din mein aur gulshan ki hawa ho jaegi

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mire ġham-e-nihāñ meñ hai naved-e-ishrat-āfrīñ

bahār bahār hai mirī ḳhizāñ liye hue

mere gham-e-nihan mein hai nawed-e-ishrat-afrin

bahaar hi bahaar hai meri KHizan liye hue

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

maiñ vo gul huuñ na fursat ḳhizāñ ne jis ko hañsne

charāġh-e-qabr bhī jal kar na apnā gul-fishāñ hogā

main wo gul hun na fursat di KHizan ne jis ko hansne ki

charagh-e-qabr bhi jal kar na apna gul-fishan hoga

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Speak Now