duniyā hai ḳhvāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai
insān ḳhvāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ
duniyā hai ḳhwāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai
insān ḳhwāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ
qafas meñ bhī vahī ḳhvāb-e-pareshāñ dekhtā huuñ maiñ
ki jaise bijliyoñ kī rau falak se āshiyāñ tak hai
qafas mein bhi wahi KHwab-e-pareshan dekhta hun main
ki jaise bijliyon ki rau falak se aashiyan tak hai
ab ḳhvāb meñ bhī diid ko āñkheñ taras ga.iiñ
be-ḳhvāb kar diya ġham-e-shab-zindādār ne
ab KHwab mein bhi did ko aankhen taras gain
be-KHwab kar diya gham-e-shab-zindadar ne
zindagī jis meñ saañs letī thī
vo zamāna ḳhayāl-o-ḳhvāb hai aaj
zindagī jis meñ sañs letī thī
wo zamāna ḳhayāl-o-ḳhwāb hai aaj
kuchh ḳhabar hai tujh ko ai āsūda-e-ḳhvāb-e-lahad
shab jo terī yaad meñ ham tā-sahar royā ka.e
kuchh KHabar hai tujh ko ai aasuda-e-KHwab-e-lahad
shab jo teri yaad mein hum ta-sahar roya kae
jagā kar ḳhvāb-e-āsā.ish se 'bedār' aah hastī meñ
adam-āsūdgāñ ko lā ke Daalā hai tabāhī meñ
jagā kar ḳhwāb-e-āsāish se 'bedār' aah hastī meñ
adam-āsūdgāñ ko lā ke Dalā hai tabāhī meñ
kis ko sunā.ūñ kis se kahūñ mājrā-e-ġham
gūñge kā ḳhvāb hai ye mirī dāstāñ nahīñ
kis ko sunaun kis se kahun majra-e-gham
gunge ka KHwab hai ye meri dastan nahin
dahr-e-fānī meñ hañsī kaisī ḳhushī kyā chiiz hai
rone aa.e the yahāñ do-chār din ko ro ga.e
dahr-e-fani mein hansi kaisi KHushi kya chiz hai
rone aae the yahan do-chaar din ko ro gae
is qadar yaad hai bas ishq kī rūdād 'hayāt'
jaise dekhā thā kabhī ḳhvāb-e-pareshāñ koī
is qadar yaad hai bas ishq ki rudad 'hayat'
jaise dekha tha kabhi KHwab-e-pareshan koi
tere dar se na uThā huuñ na uThūñgā ai dost
zindagī tere binā ḳhvāb hai afsāna hai
tere dar se na uThā huñ na uThūñgā ai dost
zindagī tere binā ḳhwāb hai afsāna hai
'ārifā' maiñ ḳhvāb-e-ġhaflat meñ rahā jab be-ḳhabar
jaag kar maiñ ne sunā dilbar pyārā phir gayā
'arifa' main KHwab-e-ghaflat mein raha jab be-KHabar
jag kar main ne suna dilbar pyara phir gaya
iid se bhī kahīñ baḌh kar hai ḳhushī aalam meñ
jab se mash.hūr huī hai ḳhabar-e-āmad-e-yār
id se bhi kahin baDh kar hai KHushi aalam mein
jab se mashhur hui hai KHabar-e-amad-e-yar
hāl-e-dil hai koī ḳhvāb-āvar fasāna to nahīñ
niiñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa ga.ī
hāl-e-dil hai koī ḳhwāb-āwar fasāna to nahīñ
niñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa gaī
ai 'arsh' aao ḳhaak meñ dillī ke so raheñ
miT kar bhī ḳhvāb-gāh ye ahl-e-hunar kī hai
ai 'arsh' aao KHak mein dilli ke so rahen
miT kar bhi KHwab-gah ye ahl-e-hunar ki hai
merī yaqīñ na ho to sitāroñ se pūchhnā
be-ḳhvāb chāñdnī bhī rahī terī yaad meñ
merī yaqīñ na ho to sitāroñ se pūchhnā
be-ḳhwāb chāñdnī bhī rahī terī yaad meñ
aaj to 'qaisar'-e-hazīñ ziist kī raah mil ga.ī
aa ke ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ shakl dikhā gayā koī
aaj to 'qaisar'-e-hazin zist ki rah mil gai
aa ke KHayal-o-KHwab mein shakl dikha gaya koi
ḳhudā jaane thā ḳhvāb meñ kyā samāñ
are dard-e-dil kyuuñ jagāyā mujhe
KHuda jaane tha KHwab mein kya saman
are dard-e-dil kyun jagaya mujhe
aag lagī vo ishaq kī sar se maiñ paañv tak jalā
fart-e-ḳhushī se dil mirā kahne lagā jo ho so ho
aag lagi wo ishaq ki sar se main panw tak jala
fart-e-KHushi se dil mera kahne laga jo ho so ho
raat ko be-ḳhabar rahe aap to ḳhvāb-e-nāz meñ
niiñd na aa.ī sub.h tak ham ko shab-e-darāz meñ
raat ko be-KHabar rahe aap to KHwab-e-naz mein
nind na aai subh tak hum ko shab-e-daraaz mein
koī laa.e us ko zarā hosh meñ
ye vaa.iz hai kis ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ
koi lae us ko zara hosh mein
ye waiz hai kis KHwab-e-KHargosh mein
jab aag dhadaktī ho us par mat chīTiyo tel ḳhudā rā tum
kyā dil kī ḳhushī ko pūchho ho ai yaaro ik nāshād satī
jab aag dhadakti ho us par mat chiTiyo tel KHuda ra tum
kya dil ki KHushi ko puchho ho ai yaro ek nashad sati
kuchh fikr tumheñ uqbā kī nahīñ 'ahqar' ye baḌī nādānī hai
duniyā kī ḳhushī kyā iizā kyā ye hādis hai vo faanī hai
kuchh fikr tumhein uqba ki nahin 'ahqar' ye baDi nadani hai
duniya ki KHushi kya iza kya ye hadis hai wo fani hai
ḳhvāb 'bedār' musāfir ke nahīñ haq meñ ḳhuub
kuchh bhī hai tujh ko ḳhabar ham-safarāñ jaate haiñ
KHwab 'bedar' musafir ke nahin haq mein KHub
kuchh bhi hai tujh ko KHabar ham-safaran jate hain
rāt-bhar phirtā thā kan.āñ meñ zuleḳhā kā ḳhayāl
misr ko yūsuf chale us ḳhvāb kī ta.abīr ko
raat-bhar phirta tha kanāñ mein zuleKHa ka KHayal
misr ko yusuf chale us KHwab ki tabir ko
ai zahe tāle-e-bedār ki ham-ḳhvāb hai vo
mai to is raat ko samajhā huuñ krāmāt kī raat
ai zahe tale-e-bedar ki ham-KHwab hai wo
mai to is raat ko samajha hun kramat ki raat
niiñd āvegī na tanhā 'bedār'
tā na ḳhvāb us se baham kījiyegā
nind aawegi na tanha 'bedar'
ta na KHwab us se baham kijiyega
ḳhushī hai zāhid kī varna saaqī ḳhayāl-e-tauba rahegā kab tak
ki terā rind-e-ḳharāb 'afqar' valī nahīñ pārsā nahīñ hai
KHushi hai zahid ki warna saqi KHayal-e-tauba rahega kab tak
ki tera rind-e-KHarab 'afqar' wali nahin parsa nahin hai
merā baḳht-e-ḳhvābīda bedār ho
terā ḳhvāb meñ mujh ko dīdār ho
mera baKHt-e-KHwabida bedar ho
tera KHwab mein mujh ko didar ho
mat kaho mujh siiñ qissā-e-farhād
ḳhvāb-e-shīrīñ meñ aaj sotā hai
mat kaho mujh sin qissa-e-farhad
KHwab-e-shirin mein aaj sota hai
masnad-e-kimḳhvāb shāhāñ ko kahāñ hāsil ye qadr
manzilat tere gadāon kī jo ḳhākastar meñ hai
masnad-e-kimKHwab shahan ko kahan hasil ye qadr
manzilat tere gadaon ki jo KHakastar mein hai
bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis vāste
gar bure ham haiñ to ho jiye aur se jā āshnā
bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis wāste
gar bure hum haiñ to ho jiye aur se jā āshnā
us siyah-baḳht kī rāteñ bhī koī rāteñ haiñ
ḳhvāb-e-rāhat bhī jise ḳhvāb-e-pareshāñ ho jaa.e
us siyah-baKHt ki raaten bhi koi raaten hain
KHwab-e-rahat bhi jise KHwab-e-pareshan ho jae
tujhe ma.alūm kyā ai ḳhvāb-e-hastī dekhne vaale
vahī hastī hai hastī jo nisār-e-yār ho jaa.e
tujhe malum kya ai KHwab-e-hasti dekhne wale
wahi hasti hai hasti jo nisar-e-yar ho jae
sham' ke jalve bhī yā-rab kyā ḳhvāb thā jalne vāloñ kā
subh jo dekhā mahfil meñ parvāva hī parvāna thā
sham' ke jalwe bhi ya-rab kya KHwab tha jalne walon ka
subh jo dekha mahfil mein parwawa hi parwana tha
juuñ misāl us kī numūdār huī tuuñ hī 'bayāñ'
tapish-e-dil ne kiyā ḳhvāb se bedār mujhe
jun misal us ki numudar hui tun hi 'bayan'
tapish-e-dil ne kiya KHwab se bedar mujhe
dil hai betāb chashm hai be-ḳhvāb
jā-e-'bedār' kyā karūñ tujh bin
dil hai betāb chashm hai be-ḳhwāb
jā-e-'bedār' kyā karūñ tujh bin
ġham-e-jānāñ se dil mānūs jab se ho gayā mujh ko
hañsī achchhī nahīñ lagtī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujh ko
hansi achchhi nahin lagti KHushi achchhi nahin lagti
kyā kahūñ tujh se ab ke maiñ tujh ko
kis tarah dekhtā huuñ ḳhvāb ke beach
kya kahun tujh se ab ke main tujh ko
kis tarah dekhta hun KHwab ke beach
kāhkashāñ ke ḳhvāb 'muzaffar' dekh rahā thā
aur bedārī ret ke Tiile par le aa.ī
kahkashan ke KHwab 'muzaffar' dekh raha tha
aur bedari ret ke Tile par le aai
jāgte kā ḳhvāb samjho varna duniyā hai bhī kyā
us kī hasrat hai bhī kyā us kī tamannā hai bhī kyā
jagte ka KHwab samjho warna duniya hai bhi kya
us ki hasrat hai bhi kya us ki tamanna hai bhi kya
un ko dāvā-e-yūsufī 'āsī'
ḳhvāb meñ bhī jo aa nahīñ sakte
un ko dawa-e-yusufi 'asi'
KHwab mein bhi jo aa nahin sakte
bedārī ho yā ḳhvāb ho har haal meñ hai vasl
jo sāhab-e-nisbat haiñ magar ahl-e-yaqīñ haiñ
bedari ho ya KHwab ho har haal mein hai wasl
jo sahab-e-nisbat hain magar ahl-e-yaqin hain
hai ālam-e-ḳhvāb hāl-e-duniyā
dekhegā jo chashm vā karegā
hai ālam-e-ḳhwāb hāl-e-duniyā
dekhegā jo chashm wā karegā
kahāñ chain ḳhvāb-e-adam meñ thā na thā zulf-e-yār kā ḳhayāl
so jagā ke shor ne mujhe is balā meñ phañsā diyā
kahan chain KHwab-e-adam mein tha na tha zulf-e-yar ka KHayal
so jaga ke shor ne mujhe is bala mein phansa diya
ḳhvāb hai na bedārī shukr hai na hoshiyārī
lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-ḳhumār mujh se pūchh
KHwab hai na bedari shukr hai na hoshiyari
lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-KHumar mujh se puchh
kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh
kyā us ḳhvāb se tū ne mujhe bedār abas
kya meri aankh adam bich lagi thi ai charKH
kya us KHwab se tu ne mujhe bedar abas
pul bhī hai faḳhr-e-jaunpur 'āsī'
ḳhvāb-gāh-e-janāb-e-sheḳhū hai
pul bhi hai faKHr-e-jaunpur 'asi'
KHwab-gah-e-janab-e-sheKHu hai
na faqat yaar bin sharāb hai talḳh
aish-o-ārām-o-ḳhurd-o-ḳhvāb hai talḳh
na faqat yar bin sharab hai talKH
aish-o-aram-o-KHurd-o-KHwab hai talKH
mujh se na ab haqīqat-e-ta.abīr pūchhiye
vasl-e-sanam ke naqsh nazar aa.e ḳhvāb meñ
mujh se na ab haqiqat-e-tabir puchhiye
wasl-e-sanam ke naqsh nazar aae KHwab mein
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere