Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Khwab Shayari

duniyā hai ḳhvāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhvāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

duniyā hai ḳhwāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhwāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

Seemab Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

maiñ huuñ ek āshiq-e-be-navā navāz apne payām se

ye tirī razā pe tirī ḳhushī pukār le kisī naam se

maiñ huñ ek āshiq-e-be-nawā nawāz apne payām se

ye tirī razā pe tirī ḳhushī pukār le kisī nam se

Fana Bulandshahri
  • Share this
  • Critique

qafas meñ bhī vahī ḳhvāb-e-pareshāñ dekhtā huuñ maiñ

ki jaise bijliyoñ rau falak se āshiyāñ tak hai

qafas mein bhi wahi KHwab-e-pareshan dekhta hun main

ki jaise bijliyon ki rau falak se aashiyan tak hai

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ab ḳhvāb meñ bhī diid ko āñkheñ taras ga.iiñ

be-ḳhvāb kar diya ġham-e-shab-zindādār ne

ab KHwab mein bhi did ko aankhen taras gain

be-KHwab kar diya gham-e-shab-zindadar ne

Kamil Shattari
  • Share this
  • Critique

zindagī jis meñ saañs letī thī

vo zamāna ḳhayāl-o-ḳhvāb hai aaj

zindagī jis meñ sañs letī thī

wo zamāna ḳhayāl-o-ḳhwāb hai aaj

Seemab Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

kuchh ḳhabar hai tujh ko ai āsūda-e-ḳhvāb-e-lahad

shab jo terī yaad meñ ham tā-sahar royā ka.e

kuchh KHabar hai tujh ko ai aasuda-e-KHwab-e-lahad

shab jo teri yaad mein hum ta-sahar roya kae

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

jagā kar ḳhvāb-e-āsā.ish se 'bedār' aah hastī meñ

adam-āsūdgāñ ko ke Daalā hai tabāhī meñ

jagā kar ḳhwāb-e-āsāish se 'bedār' aah hastī meñ

adam-āsūdgāñ ko ke Dalā hai tabāhī meñ

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

kis ko sunā.ūñ kis se kahūñ mājrā-e-ġham

gūñge ḳhvāb hai ye mirī dāstāñ nahīñ

kis ko sunaun kis se kahun majra-e-gham

gunge ka KHwab hai ye meri dastan nahin

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

dahr-e-fānī meñ hañsī kaisī ḳhushī kyā chiiz hai

rone aa.e the yahāñ do-chār din ko ro ga.e

dahr-e-fani mein hansi kaisi KHushi kya chiz hai

rone aae the yahan do-chaar din ko ro gae

Sanjar Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

is qadar yaad hai bas ishq rūdād 'hayāt'

jaise dekhā thā kabhī ḳhvāb-e-pareshāñ koī

is qadar yaad hai bas ishq ki rudad 'hayat'

jaise dekha tha kabhi KHwab-e-pareshan koi

Hayat Warsi
  • Share this
  • Critique

tere dar se na uThā huuñ na uThūñgā ai dost

zindagī tere binā ḳhvāb hai afsāna hai

tere dar se na uThā huñ na uThūñgā ai dost

zindagī tere binā ḳhwāb hai afsāna hai

Fana Bulandshahri
  • Share this
  • Critique

'ārifā' maiñ ḳhvāb-e-ġhaflat meñ rahā jab be-ḳhabar

jaag kar maiñ ne sunā dilbar pyārā phir gayā

'arifa' main KHwab-e-ghaflat mein raha jab be-KHabar

jag kar main ne suna dilbar pyara phir gaya

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

iid se bhī kahīñ baḌh kar hai ḳhushī aalam meñ

jab se mash.hūr huī hai ḳhabar-e-āmad-e-yār

id se bhi kahin baDh kar hai KHushi aalam mein

jab se mashhur hui hai KHabar-e-amad-e-yar

Ibrahim Aajiz
  • Share this
  • Critique

hāl-e-dil hai koī ḳhvāb-āvar fasāna to nahīñ

niiñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa ga.ī

hāl-e-dil hai koī ḳhwāb-āwar fasāna to nahīñ

niñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa gaī

Hafeez Hoshiarpuri
  • Share this
  • Critique

ai 'arsh' aao ḳhaak meñ dillī ke so raheñ

miT kar bhī ḳhvāb-gāh ye ahl-e-hunar hai

ai 'arsh' aao KHak mein dilli ke so rahen

miT kar bhi KHwab-gah ye ahl-e-hunar ki hai

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

merī yaqīñ na ho to sitāroñ se pūchhnā

be-ḳhvāb chāñdnī bhī rahī terī yaad meñ

merī yaqīñ na ho to sitāroñ se pūchhnā

be-ḳhwāb chāñdnī bhī rahī terī yaad meñ

Khalish Dehlvi
  • Share this
  • Critique

aaj to 'qaisar'-e-hazīñ ziist raah mil ga.ī

aa ke ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ shakl dikhā gayā koī

aaj to 'qaisar'-e-hazin zist ki rah mil gai

aa ke KHayal-o-KHwab mein shakl dikha gaya koi

Qaisar Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ḳhudā jaane thā ḳhvāb meñ kyā samāñ

are dard-e-dil kyuuñ jagāyā mujhe

KHuda jaane tha KHwab mein kya saman

are dard-e-dil kyun jagaya mujhe

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

aag lagī vo ishaq sar se maiñ paañv tak jalā

fart-e-ḳhushī se dil mirā kahne lagā jo ho so ho

aag lagi wo ishaq ki sar se main panw tak jala

fart-e-KHushi se dil mera kahne laga jo ho so ho

  • Share this
  • Critique

raat ko be-ḳhabar rahe aap to ḳhvāb-e-nāz meñ

niiñd na aa.ī sub.h tak ham ko shab-e-darāz meñ

raat ko be-KHabar rahe aap to KHwab-e-naz mein

nind na aai subh tak hum ko shab-e-daraaz mein

Jigar Warsi
  • Share this
  • Critique

koī laa.e us ko zarā hosh meñ

ye vaa.iz hai kis ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ

koi lae us ko zara hosh mein

ye waiz hai kis KHwab-e-KHargosh mein

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

jab aag dhadaktī ho us par mat chīTiyo tel ḳhudā tum

kyā dil ḳhushī ko pūchho ho ai yaaro ik nāshād satī

jab aag dhadakti ho us par mat chiTiyo tel KHuda ra tum

kya dil ki KHushi ko puchho ho ai yaro ek nashad sati

Ghulam Naqshband Sajjad
  • Share this
  • Critique

kuchh fikr tumheñ uqbā nahīñ 'ahqar' ye baḌī nādānī hai

duniyā ḳhushī kyā iizā kyā ye hādis hai vo faanī hai

kuchh fikr tumhein uqba ki nahin 'ahqar' ye baDi nadani hai

duniya ki KHushi kya iza kya ye hadis hai wo fani hai

Ahqar Bihari
  • Share this
  • Critique

ḳhvāb 'bedār' musāfir ke nahīñ haq meñ ḳhuub

kuchh bhī hai tujh ko ḳhabar ham-safarāñ jaate haiñ

KHwab 'bedar' musafir ke nahin haq mein KHub

kuchh bhi hai tujh ko KHabar ham-safaran jate hain

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

rāt-bhar phirtā thā kan.āñ meñ zuleḳhā ḳhayāl

misr ko yūsuf chale us ḳhvāb ta.abīr ko

raat-bhar phirta tha kanāñ mein zuleKHa ka KHayal

misr ko yusuf chale us KHwab ki tabir ko

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ai zahe tāle-e-bedār ki ham-ḳhvāb hai vo

mai to is raat ko samajhā huuñ krāmāt raat

ai zahe tale-e-bedar ki ham-KHwab hai wo

mai to is raat ko samajha hun kramat ki raat

Kaifi Hyderabadi
  • Share this
  • Critique

niiñd āvegī na tanhā 'bedār'

na ḳhvāb us se baham kījiyegā

nind aawegi na tanha 'bedar'

ta na KHwab us se baham kijiyega

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

ḳhushī hai zāhid varna saaqī ḳhayāl-e-tauba rahegā kab tak

ki terā rind-e-ḳharāb 'afqar' valī nahīñ pārsā nahīñ hai

KHushi hai zahid ki warna saqi KHayal-e-tauba rahega kab tak

ki tera rind-e-KHarab 'afqar' wali nahin parsa nahin hai

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

merā baḳht-e-ḳhvābīda bedār ho

terā ḳhvāb meñ mujh ko dīdār ho

mera baKHt-e-KHwabida bedar ho

tera KHwab mein mujh ko didar ho

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

mat kaho mujh siiñ qissā-e-farhād

ḳhvāb-e-shīrīñ meñ aaj sotā hai

mat kaho mujh sin qissa-e-farhad

KHwab-e-shirin mein aaj sota hai

Siraj Aurangabadi
  • Share this
  • Critique

masnad-e-kimḳhvāb shāhāñ ko kahāñ hāsil ye qadr

manzilat tere gadāon jo ḳhākastar meñ hai

masnad-e-kimKHwab shahan ko kahan hasil ye qadr

manzilat tere gadaon ki jo KHakastar mein hai

Bahram ji
  • Share this
  • Critique

bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis vāste

gar bure ham haiñ to ho jiye aur se āshnā

bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis wāste

gar bure hum haiñ to ho jiye aur se āshnā

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

us siyah-baḳht rāteñ bhī koī rāteñ haiñ

ḳhvāb-e-rāhat bhī jise ḳhvāb-e-pareshāñ ho jaa.e

us siyah-baKHt ki raaten bhi koi raaten hain

KHwab-e-rahat bhi jise KHwab-e-pareshan ho jae

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

tujhe ma.alūm kyā ai ḳhvāb-e-hastī dekhne vaale

vahī hastī hai hastī jo nisār-e-yār ho jaa.e

tujhe malum kya ai KHwab-e-hasti dekhne wale

wahi hasti hai hasti jo nisar-e-yar ho jae

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

sham' ke jalve bhī yā-rab kyā ḳhvāb thā jalne vāloñ

subh jo dekhā mahfil meñ parvāva parvāna thā

sham' ke jalwe bhi ya-rab kya KHwab tha jalne walon ka

subh jo dekha mahfil mein parwawa hi parwana tha

Bedar Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

juuñ misāl us numūdār huī tuuñ 'bayāñ'

tapish-e-dil ne kiyā ḳhvāb se bedār mujhe

jun misal us ki numudar hui tun hi 'bayan'

tapish-e-dil ne kiya KHwab se bedar mujhe

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

dil hai betāb chashm hai be-ḳhvāb

jā-e-'bedār' kyā karūñ tujh bin

dil hai betāb chashm hai be-ḳhwāb

jā-e-'bedār' kyā karūñ tujh bin

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

ġham-e-jānāñ se dil mānūs jab se ho gayā mujh ko

hañsī achchhī nahīñ lagtī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī

gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujh ko

hansi achchhi nahin lagti KHushi achchhi nahin lagti

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

kyā kahūñ tujh se ab ke maiñ tujh ko

kis tarah dekhtā huuñ ḳhvāb ke beach

kya kahun tujh se ab ke main tujh ko

kis tarah dekhta hun KHwab ke beach

Khwaja Meer Asar
  • Share this
  • Critique

kāhkashāñ ke ḳhvāb 'muzaffar' dekh rahā thā

aur bedārī ret ke Tiile par le aa.ī

kahkashan ke KHwab 'muzaffar' dekh raha tha

aur bedari ret ke Tile par le aai

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

jāgte ḳhvāb samjho varna duniyā hai bhī kyā

us hasrat hai bhī kyā us tamannā hai bhī kyā

jagte ka KHwab samjho warna duniya hai bhi kya

us ki hasrat hai bhi kya us ki tamanna hai bhi kya

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

un ko dāvā-e-yūsufī 'āsī'

ḳhvāb meñ bhī jo aa nahīñ sakte

un ko dawa-e-yusufi 'asi'

KHwab mein bhi jo aa nahin sakte

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

bedārī ho ḳhvāb ho har haal meñ hai vasl

jo sāhab-e-nisbat haiñ magar ahl-e-yaqīñ haiñ

bedari ho ya KHwab ho har haal mein hai wasl

jo sahab-e-nisbat hain magar ahl-e-yaqin hain

Mardan Safi
  • Share this
  • Critique

hai ālam-e-ḳhvāb hāl-e-duniyā

dekhegā jo chashm karegā

hai ālam-e-ḳhwāb hāl-e-duniyā

dekhegā jo chashm karegā

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

kahāñ chain ḳhvāb-e-adam meñ thā na thā zulf-e-yār ḳhayāl

so jagā ke shor ne mujhe is balā meñ phañsā diyā

kahan chain KHwab-e-adam mein tha na tha zulf-e-yar ka KHayal

so jaga ke shor ne mujhe is bala mein phansa diya

Shah Niyaz Ahmad Barelvi
  • Share this
  • Critique

ḳhvāb hai na bedārī shukr hai na hoshiyārī

lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-ḳhumār mujh se pūchh

KHwab hai na bedari shukr hai na hoshiyari

lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-KHumar mujh se puchh

Nisar Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh

kyā us ḳhvāb se ne mujhe bedār abas

kya meri aankh adam bich lagi thi ai charKH

kya us KHwab se tu ne mujhe bedar abas

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

pul bhī hai faḳhr-e-jaunpur 'āsī'

ḳhvāb-gāh-e-janāb-e-sheḳhū hai

pul bhi hai faKHr-e-jaunpur 'asi'

KHwab-gah-e-janab-e-sheKHu hai

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

na faqat yaar bin sharāb hai talḳh

aish-o-ārām-o-ḳhurd-o-ḳhvāb hai talḳh

na faqat yar bin sharab hai talKH

aish-o-aram-o-KHurd-o-KHwab hai talKH

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

mujh se na ab haqīqat-e-ta.abīr pūchhiye

vasl-e-sanam ke naqsh nazar aa.e ḳhvāb meñ

mujh se na ab haqiqat-e-tabir puchhiye

wasl-e-sanam ke naqsh nazar aae KHwab mein

Akhtar Warsi
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now