adab se sar jhukā kar qāsid us ke rū-ba-rū jaanā
nihāyat shauq se kahnā payām āhista āhista
adab se sar jhuka kar qasid us ke ru-ba-ru jaana
nihayat shauq se kahna payam aahista aahista
jhuuT kyuuñ kahtā hai ai qāsid ki vah aate nahīñ
vah agar aate nahīñ ham aap meñ aate haiñ kyuuñ
jhuT kyun kahta hai ai qasid ki wah aate nahin
wah agar aate nahin hum aap mein aate hain kyun
aah qāsid tū ab talak na phirā
dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā
aah qāsid tū ab talak na phirā
dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā
nahīñ ye kahtā maiñ tujh se qāsid ki un se be-vaqt haal kah de
magar jo pahlū nazar se guzre to us se pahlū-tahī na karnā
nahin ye kahta main tujh se qasid ki un se be-waqt haal kah de
magar jo pahlu nazar se guzre to us se pahlu-tahi na karna
ai qāsid-e-ashk-o-paik sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā
tum kyā kaaro haañ qismat kā likhā ye bhī na huā vo bhī na huā
ai qasid-e-ashk-o-paik saba us tak na payam-o-KHat pahuncha
tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua
halkī sī ik ḳharāsh hai qāsid ke halaq par
ye ḳhat javāb-e-ḳhat hai ki ḳhat kī rasīd hai
halki si ek KHarash hai qasid ke halaq par
ye KHat jawab-e-KHat hai ki KHat ki rasid hai
pheñk do ḳhat likh ke qāsid se jo tum bezār ho
uḌ ke aa.egā jo hai mere muqaddar kā javāb
phenk do KHat likh ke qasid se jo tum bezar ho
uD ke aaega jo hai mere muqaddar ka jawab
bayān-e-dard-āgīñ hai kahegā jā ke kyā qāsid
hadīs-e-ārzū merī pareshāñ dāstāñ merī
bayan-e-dard-agin hai kahega ja ke kya qasid
hadis-e-arzu meri pareshan dastan meri
misr señ le kar ḳhabar yūsuf kī jo qāsid gayā
dīda-e-yāqūb raushan bū-e-pairāhan kiyā
misr sen le kar KHabar yūsuf ki jo qasid gaya
dida-e-yaqub raushan bu-e-pairahan kiya
kal kī bātoñ meñ to kuchh narmī sī hai
aaj phir qāsid ravānā kījiye
kal ki baaton mein to kuchh narmi si hai
aaj phir qasid rawana kijiye
qāsid kī ummīd hai yaaro qāsid to aa jā.egā
lekin ham us vaqt na hoñge jab un kā ḳhat aa.egā
qasid ki ummid hai yaro qasid to aa jaega
lekin hum us waqt na honge jab un ka KHat aaega
intizār-e-qāsid-e-gum-gashta ne maarā 'nasīr'
kis tarah uḌ jā.iye kūche meñ us ke par lagā
intizar-e-qasid-e-gum-gashta ne mara 'nasir'
kis tarah uD jaiye kuche mein us ke par laga
kahiyo ai qāsid payām us ko ki tere hijr se
jāñ-ba-lab pahuñchā nahīñ aatā hai tū yaañ ab talak
kahiyo ai qasid payam us ko ki tere hijr se
jaan-ba-lab pahuncha nahin aata hai tu yan ab talak
qāsid us kā payām kuchh bhī hai
kah duā yā salām kuchh bhī hai
qāsid us kā payām kuchh bhī hai
kah duā yā salām kuchh bhī hai
ye bhī qismat kā likhā apnī ki us ne yaaro
le ke ḳhat haath se qāsid kī na merā kholā
ye bhi qismat ka likha apni ki us ne yaro
le ke KHat hath se qasid ki na mera khola
nāma-e-laḳht-e-dil us be-dīd tak pahuñchā mirā
aaj phir ai qāsid-e-ashk-e-ravāñ bahar-e-ḳhudā
nama-e-laKHt-e-dil us be-did tak pahuncha mera
aaj phir ai qasid-e-ashk-e-rawan bahar-e-KHuda
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere