Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Qismat Shayari

qismat jaage to ham so.en qismat so.e to ham jāgeñ

donoñ ko niiñd aa.e jis meñ kab aisī rāteñ hotī haiñ

qismat jage to hum soen qismat soe to hum jagen

donon hi ko nind aae jis mein kab aisi raaten hoti hain

Aarzu Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

milā hai jo muqaddar meñ raqam thā

zahe qismat mire hisse meñ ġham thā

mila hai jo muqaddar mein raqam tha

zahe qismat mere hisse mein gham tha

Wasif Ali Wasif
  • Share this
  • Critique

agar ham tum salāmat haiñ kabhī khul jā.egī qismat

isī daur-e-layālī meñ isī gardūñ ke chakkar meñ

agar hum tum salamat hain kabhi khul jaegi qismat

isi daur-e-layali mein isi gardun ke chakkar mein

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

kajī merī qismat phir dekhnā

zarī apnī tirchhī nazar dekhiye

kaji meri qismat ki phir dekhna

zari apni tirchhi nazar dekhiye

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

bigāḌ qismat kyā batā.ūñ jo saath mere lagī huī hai

kahīñ kahīñ se kaTī huī hai kahīñ kahīñ se miTī huī hai

bigaD qismat ka kya bataun jo sath mere lagi hui hai

kahin kahin se kaTi hui hai kahin kahin se miTi hui hai

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

kuchh na ho ai inqilāb-e-āsmāñ itnā to ho

ġhair qismat badal jaa.e merī taqdīr se

kuchh na ho ai inqilab-e-asman itna to ho

ghair ki qismat badal jae meri taqdir se

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

un ko gul muqaddar milā

mujh ko shabnam qismat milī

un ko gul ka muqaddar mila

mujh ko shabnam ki qismat mili

Fana Nizami Kanpuri
  • Share this
  • Critique

ḳhushī se duur huuñ nā-āshnā-e-bazm-e-ishrat huuñ

sarāpā dard huuñ vābasta-e-zanjēr-e-qismat huuñ

KHushi se dur hun na-ashna-e-bazm-e-ishrat hun

sarapa dard hun wabasta-e-zanjeer-e-qismat hun

Shah Mohsin Danapuri
  • Share this
  • Critique

dekhnā un to qismat meñ nahīñ

dekhne vaale ko dekhā chāhiye

dekhna un ka to qismat mein nahin

dekhne wale ko dekha chahiye

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

badaltī nahīñ qismat mohabbat karne vāloñ

tasavvur yaar jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā

badaltī nahīñ qismat mohabbat karne wāloñ

tasawwur yar jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā

Fana Bulandshahri
  • Share this
  • Critique

lazzateñ diiñ ġhāfiloñ ko qāsim-e-hushiyār ne

ishq qismat huī duniyā meñ ġham khāne tarah

lazzaten din ghafilon ko qasim-e-hushiyar ne

ishq ki qismat hui duniya mein gham khane ki tarah

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

chamak uTThī hai qismat ek sajda meñ kyā kahnā

liye phirtā hai peshānī pe naqsh-e-koī koī

chamak uTThi hai qismat ek hi sajda mein kya kahna

liye phirta hai peshani pe naqsh-e-koi koi

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

apnī qismat pe farishtoñ tarah naaz karūñ

mujh pe ho jaa.e agar chashm-e-ināyat terī

apnī qismat pe farishtoñ tarah naz karūñ

mujh pe ho jae agar chashm-e-ināyat terī

Fana Bulandshahri
  • Share this
  • Critique

takiye meñ kyā rakhā hai ḳhat-e-ġhair tarah

dekhūñ to maiñ navishta-e-qismat mirā na ho

takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah

dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

bane sho.ale bijlī ke qismat se merī

jo tinke the kuchh āshiyāne ke qābil

bane shoale bijli ke qismat se meri

jo tinke the kuchh aashiyane ke qabil

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

ye bhī qismat likhā apnī ki us ne yaaro

le ke ḳhat haath se qāsid na merā kholā

ye bhi qismat ka likha apni ki us ne yaro

le ke KHat hath se qasid ki na mera khola

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

ye qismat daaġh jis meñ dard jis meñ

vo dil ho luuT dast-e-nāznīñ par

ye qismat dagh jis mein dard jis mein

wo dil ho luT dast-e-naznin par

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

qismat nā-rasā.iyāñ ba.ad-e-fanā rahīñ

mar ke bhī dafn ho na sakā kū-e-yār meñ

qismat ki na-rasaiyan baad-e-fana rahin

mar ke bhi dafn ho na saka ku-e-yar mein

Hairat Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ai qāsid-e-ashk-o-paik sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā

tum kyā kaaro haañ qismat likhā ye bhī na huā vo bhī na huā

ai qasid-e-ashk-o-paik saba us tak na payam-o-KHat pahuncha

tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

vaa.e qismat sham.a pūchhe bhī na parvānoñ baat

aur be-minnat mileñ bose lab-e-gul-gīr ko

wae qismat shama puchhe bhi na parwanon ki baat

aur be-minnat milen bose lab-e-gul-gir ko

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

malāmat likhī hai sar-basar kyā

mirī qismat meñ tere pāsbāñ se

malamat hi likhi hai sar-basar kya

meri qismat mein tere pasban se

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

murīd-e-pīr-e-mai-ḳhāna hue qismat se ai nāseh

na jhāḌeñ shauq meñ palkoñ se ham kyuuñ sahn-e-mai-ḳhāna

murid-e-pir-e-mai-KHana hue qismat se ai naseh

na jhaDen shauq mein palkon se hum kyun sahn-e-mai-KHana

Ibrahim Aajiz
  • Share this
  • Critique

us nākāmī-e-qismat par kahāñ tak roiye

ġharq ho jaa.e safīna jis sāhil ke qarīb

us ki nakaami-e-qismat par kahan tak roiye

gharq ho jae safina jis ka sahil ke qarib

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar

ġhair qismat bhī hai mere muqaddar javāb

ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar

ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

qismat ne aah ham ko ye din bhī dikhā diye

qismat pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā

qismat ne aah hum ko ye din bhī dikhā diye

qismat pe e'tibār kiyā hae kyā kiyā

Behzad Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

rah ke āġhosh meñ ai bahr-e-karam āshiq ko

qismat-e-soḳhta-e-sabza-e-sāhil denā

rah ke aaghosh mein ai bahr-e-karam aashiq ko

qismat-e-soKHta-e-sabza-e-sahil dena

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

chhaTegī kaise 'muzaffar' siyāhī qismat

nikal to aa.egā ḳhurshīd raat Dhalne se

chhaTegi kaise 'muzaffar' siyahi qismat ki

nikal to aaega KHurshid raat Dhalne se

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

jalva-e-har-roz jo har sub.h qismat meñ thā

ab vo ik dhuñdlā ḳhvāb-e-dosh hai tere baġhair

jalwa-e-har-roz jo har subh ki qismat mein tha

ab wo ek dhundla sa KHwab-e-dosh hai tere baghair

Seemab Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

haa.e us mard qismat jo huā dil sharīk

haa.e us dil muqaddar jo banā dil merā

hae us mard ki qismat jo hua dil ka sharik

hae us dil ka muqaddar jo bana dil mera

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

merī aañkh taarā hai aañsū merī qismat

qismat ko maiñ rotā huuñ qismat mujh ko rotī hai

meri aankh ka tara hai aansu meri qismat ka

qismat ko main rota hun qismat mujh ko roti hai

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

nigāh-e-yār jise āshnā-e-rāz kare

vo apnī ḳhūbī-e-qismat pe kyuuñ na naaz kare

nigah-e-yar jise aashna-e-raaz kare

wo apni KHubi-e-qismat pe kyun na naz kare

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

koshish to bahut maiñ ne magar qismat na thī kuchh apnī ḳhabar

le sabr se kaam dil-e-muztar jab daad nahīñ fariyād na kar

koshish to bahut ki main ne magar qismat ki na thi kuchh apni KHabar

le sabr se kaam dil-e-muztar jab dad nahin fariyaad na kar

Mahboob Warsi Gayavi
  • Share this
  • Critique

visāl-e-yār jab hogā milā degī kabhī qismat

tabī.at meñ tabī.at ko dil-o-jāñ meñ dil-o-jāñ ko

visal-e-yar jab hoga mila degi kabhi qismat

tabiat mein tabiat ko dil-o-jaan mein dil-o-jaan ko

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

hasīnoñ ne qismat meñ islāh

nasīboñ likkhā dharā rah gayā

hasinon ne qismat mein islah di

nasibon ka likkha dhara rah gaya

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

sadā merī qismat juuñ sadā-e-halqa-e-dar hai

agar maiñ ghar meñ jaatā huuñ to vo bāhar nikaltā hai

sadā merī qismat juñ sadā-e-halqa-e-dar hai

agar maiñ ghar meñ jatā huñ to wo bāhar nikaltā hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
  • Share this
  • Critique

'muztar' mujhe chāhat meñ sajdoñ zarūrat kyā

ḳhāk-e-dar-e-jānāñ ne qismat mirī chamkā

'muztar' mujhe chahat mein sajdon ki zarurat kya

KHak-e-dar-e-jaanan ne qismat meri chamka di

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

batā kar shoḳhiyāñ us ko adā

Duboī ham ne qismat mudda.ā

bata kar shoKHiyan us ko ada ki

Duboi hum ne qismat muddaa ki

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

phir ummīdoñ ko shuā-e-kāmrānī kar atā

qismat-e-tārīk ko hañgāma-e-tanvīr de

phir ummidon ko shua-e-kaamrani kar ata

qismat-e-tarik ko hangama-e-tanwir de

Syeda Khairabadi
  • Share this
  • Critique

māthā maiñ ragaḌtā huuñ qismat mirī chamkā de

tujh meñ to sharāre haiñ sañg-e-dar-e-jānāna

matha main ragaDta hun qismat meri chamka de

tujh mein to sharare hain sang-e-dar-e-jaanana

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

hijr ke ālām se chhūTūñ ye qismat meñ nahīñ

maut bhī aane gar vā'da kare bāvar n ho

hijr ke aalam se chhuTun ye qismat mein nahin

maut bhi aane ka gar wa'da kare bawar n ho

Raza Firangi Mahali
  • Share this
  • Critique

jaan chhūTe uljhanoñ se apnī ye qismat nahīñ

maut bhī aa.e to marne mujhe fursat nahīñ

jaan chhuTe uljhanon se apni ye qismat nahin

maut bhi aae to marne ki mujhe fursat nahin

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

‘dard’ ke dil ko banā maḳhzan-e-favvāra-e-nūr

merī tārīkī-e-qismat ke ujāle saaqī

‘dard’ ke dil ko bana maKHzan-e-fawwara-e-nur

meri tariki-e-qismat ke ujale saqi

Dard Kakorvi
  • Share this
  • Critique

charke vo diye dil ko mahrūmī-e-qismat ne

ab hijr bhī tanhā.ī aur vasl bhī tanhā.ī

charke wo diye dil ko mahrūmī-e-qismat ne

ab hijr bhī tanhāī aur wasl bhī tanhāī

Sufi Tabassum
  • Share this
  • Critique

ham talḳhī-e-qismat se haiñ tishna-lab-e-bāda

gardish meñ hai paimāna paimāne se kyā kahiye

hum talKHi-e-qismat se hain tishna-lab-e-baada

gardish mein hai paimana paimane se kya kahiye

Seemab Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

'riyāz' apnī qismat ko ab kyā kahūñ meñ

bigaḌnā to aayā sañvarnā na aayā

'riyaz' apni qismat ko ab kya kahun mein

bigaDna to aaya sanwarna na aaya

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

vo azm baaqī na razm baaqī na shaukat-o-shān-e-bazm baaqī

hamārī har baat miT chukī hai ki ham ko qismat miTā rahī hai

wo azm baqi na razm baqi na shaukat-o-shan-e-bazm baqi

hamari har baat miT chuki hai ki hum ko qismat miTa rahi hai

Syeda Khairabadi
  • Share this
  • Critique

ḳhat-e-qismat miTāte ho magar itnā samajh lenā

ye harf-e-ārzū hāthoñ rañgat le ke uTTheñge

KHat-e-qismat miTate ho magar itna samajh lena

ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke uTThenge

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

nazar-afzoī-e-sham-e-tajallī ai zahe-qismat

kahāñ bazm-e-jamāl un kahāñ parvāngī apnī

nazar-afzoi-e-sham-e-tajalli ai zahe-qismat

kahan bazm-e-jamal un ki kahan parwangi apni

Zaki Warsi
  • Share this
  • Critique

tirā ġham sahne vaale par zamāna muskurātā hai

magar har shaḳhs qismat meñ terā ġham nahīñ hotā

tera gham sahne wale par zamana muskuraata hai

magar har shaKHs ki qismat mein tera gham nahin hota

Aziz Warsi Dehlvi
  • Share this
  • Critique

hameñ mil gayā hai tirā āstāna kahīñ ab na aanā kahīñ ab na jaanā

muqaddar se bigḌā ho jis ke zamāna yahāñ apnī bigḌī vo qismat banā le

hamein mil gaya hai tera aastana kahin ab na aana kahin ab na jaana

muqaddar se bigDa ho jis ke zamana yahan apni bigDi wo qismat bana le

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now