milā hai jo muqaddar meñ raqam thā
zahe qismat mire hisse meñ ġham thā
mila hai jo muqaddar mein raqam tha
zahe qismat mere hisse mein gham tha
agar ham tum salāmat haiñ kabhī khul jā.egī qismat
isī daur-e-layālī meñ isī gardūñ ke chakkar meñ
agar hum tum salamat hain kabhi khul jaegi qismat
isi daur-e-layali mein isi gardun ke chakkar mein
kajī merī qismat kī phir dekhnā
zarī apnī tirchhī nazar dekhiye
kaji meri qismat ki phir dekhna
zari apni tirchhi nazar dekhiye
bigāḌ qismat kā kyā batā.ūñ jo saath mere lagī huī hai
kahīñ kahīñ se kaTī huī hai kahīñ kahīñ se miTī huī hai
bigaD qismat ka kya bataun jo sath mere lagi hui hai
kahin kahin se kaTi hui hai kahin kahin se miTi hui hai
kuchh na ho ai inqilāb-e-āsmāñ itnā to ho
ġhair kī qismat badal jaa.e merī taqdīr se
kuchh na ho ai inqilab-e-asman itna to ho
ghair ki qismat badal jae meri taqdir se
un ko gul kā muqaddar milā
mujh ko shabnam kī qismat milī
un ko gul ka muqaddar mila
mujh ko shabnam ki qismat mili
ḳhushī se duur huuñ nā-āshnā-e-bazm-e-ishrat huuñ
sarāpā dard huuñ vābasta-e-zanjēr-e-qismat huuñ
KHushi se dur hun na-ashna-e-bazm-e-ishrat hun
sarapa dard hun wabasta-e-zanjeer-e-qismat hun
dekhnā un kā to qismat meñ nahīñ
dekhne vaale ko dekhā chāhiye
dekhna un ka to qismat mein nahin
dekhne wale ko dekha chahiye
badaltī hī nahīñ qismat mohabbat karne vāloñ kī
tasavvur yaar kā jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā
badaltī hī nahīñ qismat mohabbat karne wāloñ kī
tasawwur yar kā jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā
lazzateñ diiñ ġhāfiloñ ko qāsim-e-hushiyār ne
ishq kī qismat huī duniyā meñ ġham khāne kī tarah
lazzaten din ghafilon ko qasim-e-hushiyar ne
ishq ki qismat hui duniya mein gham khane ki tarah
chamak uTThī hai qismat ek hī sajda meñ kyā kahnā
liye phirtā hai peshānī pe naqsh-e-koī koī
chamak uTThi hai qismat ek hi sajda mein kya kahna
liye phirta hai peshani pe naqsh-e-koi koi
apnī qismat pe farishtoñ kī tarah naaz karūñ
mujh pe ho jaa.e agar chashm-e-ināyat terī
apnī qismat pe farishtoñ kī tarah naz karūñ
mujh pe ho jae agar chashm-e-ināyat terī
takiye meñ kyā rakhā hai ḳhat-e-ġhair kī tarah
dekhūñ to maiñ navishta-e-qismat mirā na ho
takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah
dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho
bane sho.ale bijlī ke qismat se merī
jo tinke the kuchh āshiyāne ke qābil
bane shoale bijli ke qismat se meri
jo tinke the kuchh aashiyane ke qabil
ye bhī qismat kā likhā apnī ki us ne yaaro
le ke ḳhat haath se qāsid kī na merā kholā
ye bhi qismat ka likha apni ki us ne yaro
le ke KHat hath se qasid ki na mera khola
ye qismat daaġh jis meñ dard jis meñ
vo dil ho luuT dast-e-nāznīñ par
ye qismat dagh jis mein dard jis mein
wo dil ho luT dast-e-naznin par
qismat kī nā-rasā.iyāñ ba.ad-e-fanā rahīñ
mar ke bhī dafn ho na sakā kū-e-yār meñ
qismat ki na-rasaiyan baad-e-fana rahin
mar ke bhi dafn ho na saka ku-e-yar mein
ai qāsid-e-ashk-o-paik sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā
tum kyā kaaro haañ qismat kā likhā ye bhī na huā vo bhī na huā
ai qasid-e-ashk-o-paik saba us tak na payam-o-KHat pahuncha
tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua
vaa.e qismat sham.a pūchhe bhī na parvānoñ kī baat
aur be-minnat mileñ bose lab-e-gul-gīr ko
wae qismat shama puchhe bhi na parwanon ki baat
aur be-minnat milen bose lab-e-gul-gir ko
malāmat hī likhī hai sar-basar kyā
mirī qismat meñ tere pāsbāñ se
malamat hi likhi hai sar-basar kya
meri qismat mein tere pasban se
murīd-e-pīr-e-mai-ḳhāna hue qismat se ai nāseh
na jhāḌeñ shauq meñ palkoñ se ham kyuuñ sahn-e-mai-ḳhāna
murid-e-pir-e-mai-KHana hue qismat se ai naseh
na jhaDen shauq mein palkon se hum kyun sahn-e-mai-KHana
us kī nākāmī-e-qismat par kahāñ tak roiye
ġharq ho jaa.e safīna jis kā sāhil ke qarīb
us ki nakaami-e-qismat par kahan tak roiye
gharq ho jae safina jis ka sahil ke qarib
ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
ġhair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar
ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab
rah ke āġhosh meñ ai bahr-e-karam āshiq ko
qismat-e-soḳhta-e-sabza-e-sāhil denā
rah ke aaghosh mein ai bahr-e-karam aashiq ko
qismat-e-soKHta-e-sabza-e-sahil dena
chhaTegī kaise 'muzaffar' siyāhī qismat kī
nikal to aa.egā ḳhurshīd raat Dhalne se
chhaTegi kaise 'muzaffar' siyahi qismat ki
nikal to aaega KHurshid raat Dhalne se
jalva-e-har-roz jo har sub.h kī qismat meñ thā
ab vo ik dhuñdlā sā ḳhvāb-e-dosh hai tere baġhair
jalwa-e-har-roz jo har subh ki qismat mein tha
ab wo ek dhundla sa KHwab-e-dosh hai tere baghair
haa.e us mard kī qismat jo huā dil kā sharīk
haa.e us dil kā muqaddar jo banā dil merā
hae us mard ki qismat jo hua dil ka sharik
hae us dil ka muqaddar jo bana dil mera
merī aañkh kā taarā hai aañsū merī qismat kā
qismat ko maiñ rotā huuñ qismat mujh ko rotī hai
meri aankh ka tara hai aansu meri qismat ka
qismat ko main rota hun qismat mujh ko roti hai
nigāh-e-yār jise āshnā-e-rāz kare
vo apnī ḳhūbī-e-qismat pe kyuuñ na naaz kare
nigah-e-yar jise aashna-e-raaz kare
wo apni KHubi-e-qismat pe kyun na naz kare
koshish to bahut kī maiñ ne magar qismat kī na thī kuchh apnī ḳhabar
le sabr se kaam dil-e-muztar jab daad nahīñ fariyād na kar
koshish to bahut ki main ne magar qismat ki na thi kuchh apni KHabar
le sabr se kaam dil-e-muztar jab dad nahin fariyaad na kar
visāl-e-yār jab hogā milā degī kabhī qismat
tabī.at meñ tabī.at ko dil-o-jāñ meñ dil-o-jāñ ko
visal-e-yar jab hoga mila degi kabhi qismat
tabiat mein tabiat ko dil-o-jaan mein dil-o-jaan ko
hasīnoñ ne qismat meñ islāh dī
nasīboñ kā likkhā dharā rah gayā
hasinon ne qismat mein islah di
nasibon ka likkha dhara rah gaya
sadā hī merī qismat juuñ sadā-e-halqa-e-dar hai
agar maiñ ghar meñ jaatā huuñ to vo bāhar nikaltā hai
sadā hī merī qismat juñ sadā-e-halqa-e-dar hai
agar maiñ ghar meñ jatā huñ to wo bāhar nikaltā hai
'muztar' mujhe chāhat meñ sajdoñ kī zarūrat kyā
ḳhāk-e-dar-e-jānāñ ne qismat mirī chamkā dī
'muztar' mujhe chahat mein sajdon ki zarurat kya
KHak-e-dar-e-jaanan ne qismat meri chamka di
batā kar shoḳhiyāñ us ko adā kī
Duboī ham ne qismat mudda.ā kī
bata kar shoKHiyan us ko ada ki
Duboi hum ne qismat muddaa ki
phir ummīdoñ ko shuā-e-kāmrānī kar atā
qismat-e-tārīk ko hañgāma-e-tanvīr de
phir ummidon ko shua-e-kaamrani kar ata
qismat-e-tarik ko hangama-e-tanwir de
māthā maiñ ragaḌtā huuñ qismat mirī chamkā de
tujh meñ to sharāre haiñ sañg-e-dar-e-jānāna
matha main ragaDta hun qismat meri chamka de
tujh mein to sharare hain sang-e-dar-e-jaanana
hijr ke ālām se chhūTūñ ye qismat meñ nahīñ
maut bhī aane kā gar vā'da kare bāvar n ho
hijr ke aalam se chhuTun ye qismat mein nahin
maut bhi aane ka gar wa'da kare bawar n ho
jaan chhūTe uljhanoñ se apnī ye qismat nahīñ
maut bhī aa.e to marne kī mujhe fursat nahīñ
jaan chhuTe uljhanon se apni ye qismat nahin
maut bhi aae to marne ki mujhe fursat nahin
‘dard’ ke dil ko banā maḳhzan-e-favvāra-e-nūr
merī tārīkī-e-qismat ke ujāle saaqī
‘dard’ ke dil ko bana maKHzan-e-fawwara-e-nur
meri tariki-e-qismat ke ujale saqi
charke vo diye dil ko mahrūmī-e-qismat ne
ab hijr bhī tanhā.ī aur vasl bhī tanhā.ī
charke wo diye dil ko mahrūmī-e-qismat ne
ab hijr bhī tanhāī aur wasl bhī tanhāī
ham talḳhī-e-qismat se haiñ tishna-lab-e-bāda
gardish meñ hai paimāna paimāne se kyā kahiye
hum talKHi-e-qismat se hain tishna-lab-e-baada
gardish mein hai paimana paimane se kya kahiye
'riyāz' apnī qismat ko ab kyā kahūñ meñ
bigaḌnā to aayā sañvarnā na aayā
'riyaz' apni qismat ko ab kya kahun mein
bigaDna to aaya sanwarna na aaya
vo azm baaqī na razm baaqī na shaukat-o-shān-e-bazm baaqī
hamārī har baat miT chukī hai ki ham ko qismat miTā rahī hai
wo azm baqi na razm baqi na shaukat-o-shan-e-bazm baqi
hamari har baat miT chuki hai ki hum ko qismat miTa rahi hai
ḳhat-e-qismat miTāte ho magar itnā samajh lenā
ye harf-e-ārzū hāthoñ kī rañgat le ke uTTheñge
KHat-e-qismat miTate ho magar itna samajh lena
ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke uTThenge
nazar-afzoī-e-sham-e-tajallī ai zahe-qismat
kahāñ bazm-e-jamāl un kī kahāñ parvāngī apnī
nazar-afzoi-e-sham-e-tajalli ai zahe-qismat
kahan bazm-e-jamal un ki kahan parwangi apni
tirā ġham sahne vaale par zamāna muskurātā hai
magar har shaḳhs kī qismat meñ terā ġham nahīñ hotā
tera gham sahne wale par zamana muskuraata hai
magar har shaKHs ki qismat mein tera gham nahin hota
hameñ mil gayā hai tirā āstāna kahīñ ab na aanā kahīñ ab na jaanā
muqaddar se bigḌā ho jis ke zamāna yahāñ apnī bigḌī vo qismat banā le
hamein mil gaya hai tera aastana kahin ab na aana kahin ab na jaana
muqaddar se bigDa ho jis ke zamana yahan apni bigDi wo qismat bana le
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere