1568 - 1593 | Hardoi, India
jamlā aisī priit kar jaisī nis ar chand
chande bin nis sāñvlī nis bin chando mañd
jamla aisi prit kar jaisi nis ar chand
chande bin nis sanwli nis bin chando mand
'jamlā' aisī priit kar jaisī machchh karāy
Tuk ek jal thī vīchhḌai taḌaph taḌaph mar jaay
'jamla' aisi prit kar jaisi machchh karay
Tuk ek jal thi wichhDai taDaph taDaph mar jay
jamlā jā suuñ priit kar priit sahit rah paas
nā vo milai na bīchhḌai nā to hoye nirās
jamla ja sun prit kar prit sahit rah pas
na wo milai na bichhDai na to hoye niras
dussāsan eñchan ichat bharī basan kī maal
chiir badhāyo daropdī rachchhā karī 'jamāl'
dussasan enchan ichat bhari basan ki mal
chir badhayo daropdi rachchha kari 'jamal'
yā tan kī bhaTTī karūñ man kuuñ karūñ kalāl
naināñ kā pyāla karūñ bhar bhar piyo 'jamāl'
ya tan ki bhaTTi karun man kun karun kalal
nainan ka pyala karun bhar bhar piyo 'jamal'
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
Urdu poetry, urdu shayari, shayari in urdu, poetry in urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books