Dohe of Aasi Ghazipuri
os os sab koī kahe aañsū kahae na koy
mohi virhin ke sog me rain rahī hai roy
os os sab koi kahe aansu kahae na koy
mohi wirhin ke sog me rain rahi hai roy
ham tum svāmī ek hai kahan sunan ko doye
man ko man se toliye do man kabhī na hoye
hum tum swami ek hai kahan sunan ko doye
man ko man se toliye do man kabhi na hoye
mai chāhūñ ke uḌ chalūñ par bin uḌā na jaay
kaah kahauñ kartār ko jo par nā diyā lagāy
mai chahun ke uD chalun par bin uDa na jay
kah kahaun kartar ko jo par na diya lagay
kājar duuñ to kirkirā.e surma diyā na jaa.e
jin nainan maañ piya basai duujā kaun samā.e
kajar dun to kirkirae surma diya na jae
jin nainan man piya basai duja kaun samae
man mā rākhūñ man jare kahūñ to mukh jari jaay
gūñge kā sapnā bhayo samajh samajh pachhtāy
man ma rakhun man jare kahun to mukh jari jay
gunge ka sapna bhayo samajh samajh pachhtay
kar kampe likhnī Dige añg añg thahrāy
sudhi aavat chhātī phaTe pāñtī likhī na jaay
kar kampe likhni Dige ang ang thahray
sudhi aawat chhati phaTe panti likhi na jay
bhuj pharkat tore milan ko saravan sunan ko bain
man maalā tohi naam kā japat rahat din rain
bhuj pharkat tore milan ko sarawan sunan ko bain
man mala tohi nam ka japat rahat din rain
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere