Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
Amir Khusrau's Photo'

Amir Khusrau

1253 - 1325 | Delhi, India

Beloved disciple of Nizamuddin Auliya and clelebrated Sufi poet of Persian and Urdu. Also highly skilled in music, famous as Tuti-e-Hind.

Beloved disciple of Nizamuddin Auliya and clelebrated Sufi poet of Persian and Urdu. Also highly skilled in music, famous as Tuti-e-Hind.

Dohe of Amir Khusrau

'ḳhusrav' rain suhāg jaagī ke sañg

tan mero man piiv ko dou bha.e ek rañg

'KHusraw' rain suhag ki jagi pi ke sang

tan mero man piw ko dou bhae ek rang

gorī sovai sej par mukh par Dārai kes

chal 'ḳhusrav' ghar aapne rain bha.ī chhuñ des

gori sowai sej par mukh par Darai kes

chal 'KHusraw' ghar aapne rain bhai chhun des

sej suunī dekh ke ro.uuñ din rain

piyā piyā kahtī phirūñ pal bhar sukh nahi chain

sej suni dekh ke roun din rain

piya piya kahti phirun pal bhar sukh nahi chain

dekh maiñ apne haal ko ro.uuñ zār-o-zār

vai gunvantā bahut haiñ ham haiñ avagun-hār

dekh main apne haal ko roun zar-o-zar

wai gunwanta bahut hain hum hain awagun-haar

vo ga.e bālam vo ga.e nadiyā kinār

aape paar utar ga.e ham to rahe ehī paar

wo gae baalam wo gae nadiya kinar

aape par utar gae hum to rahe ehi par

bhaa.ī re mallāh ham ko paar utaar

haath ko de.uñgī mundarā gale ko de.uñgī haar

bhai re mallah hum ko par utar

hath ko deungi mundara gale ko deungi haar

shyām set gorī lai jan-mat bha.ī aniit

ek pal meñ phir jaat hai jogī kaake miit

shyam set gori lai jan-mat bhai anit

ek pal mein phir jat hai jogi kake mit

pañkhā ho kar maiñ Dulī setī terā chaav

muj jaltī janam ga.ī tere lekhan bhaav

pankha ho kar main Duli seti tera chaw

muj jalti janam gai tere lekhan bhaw

chakvā cahkvī do jane un maare na koy

oh maare kartār ke rain bichhauhī hoy

chakwa cahkwi do jane un mare na koy

oh mare kartar ke rain bichhauhi hoy

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now