ALL
E-book23
Video7
Profile
Kalaam1
Pad98
Doha4
Chaupai8
Shabad7
blog3
Raga Based Poetry6
Saakhi138
Hori1
Sorthaa3
Jhulna1
Bhajan1
Sufi Quotes6
Krishn Bhakti Sant Kavya2
Saakhi of Kabir
kabīr sañgat saadh kī harai aur kī byādhi
sañgat burī asādh kī aaTho pahar upādhi
kabir sangat sadh ki harai aur ki byaadhi
sangat buri asadh ki aaTho pahar upadhi
jab maiñ thā tab gurū nahīñ ab gurū hai ham nāhīñ
prem galī ati sañkrī tā meñ do na samāñhi
jab main tha tab guru nahin ab guru hai hum nahin
prem gali ati sankri ta mein do na samanhi
sañgati bha.ī to kyā bhyā hirdā bhyā kaThor
nau nejā paanī chḌhai taū na bhījai kor
sangati bhai to kya bhya hirda bhya kaThor
nau neja pani chDhai tau na bhijai kor
sukhiyā sab sansār hai khāvai au sovai
dukhiyā daas 'kabīr' hai jāgai au rovai
sukhiya sab sansar hai khawai au sowai
dukhiya das 'kabir' hai jagai au rowai
aaTh pahar chauñsaTh ghaḌī mere aur na koy
nainā māñhīñ tū basai niiñd ko Thaur na hoai
aaTh pahar chaunsaTh ghaDi mere aur na koy
naina manhin tu basai nind ko Thaur na hoai
raam bulāvā bhejiyā diyā 'kabīrā' roye
jo sukh sādhū sañg meñ so baikuñTh na hoy
ram bulawa bhejiya diya 'kabira' roye
jo sukh sadhu sang mein so baikunTh na hoy
pirītam ko patiyāñ likhūñ jo kahuñ hoai bides
tan meñ man meñ nain meñ tā ko kahā sandes
piritam ko patiyan likhun jo kahun hoai bides
tan mein man mein nain mein ta ko kaha sandes
preñm chhipāyā nā chhipai jā ghaT parghaT hoai
jo pai mukh bolai nahīñ to nain det haiñ roye
prenm chhipaya na chhipai ja ghaT parghaT hoai
jo pai mukh bolai nahin to nain det hain roye
prem binā dhīraj nahīñ birah binā bairāg
satgurū bin jāvai nahīñ man mansā kā daaġh
prem bina dhiraj nahin birah bina bairag
satguru bin jawai nahin man mansa ka dagh
jo aavai to jaai nahi jaai to aavai nāhiñ
akath kahānī prem kī smujhi lehu man māhiñ
jo aawai to jai nahi jai to aawai nahin
akath kahani prem ki smujhi lehu man mahin
ek siis kā mānvā kartā bahutak hiis
lañkāpti rāvan gayā biis bhujā das siis
ek sis ka manwa karta bahutak his
lankapti rawan gaya bis bhuja das sis
aayā bagūla prem kā tinkā uḌā akaas
tinkā tinkā se milā tinkā tinke paas
aaya bagula prem ka tinka uDa akas
tinka tinka se mila tinka tinke pas
jal meñ basai kamodinī chandā basai akaas
jo hai jā kā bhāvtā so taahī ke paas
jal mein basai kamodini chanda basai akas
jo hai ja ka bhawta so tahi ke pas
prem to aisā kījiye jaise chand chakor
ghīñch TuuTi bhuiñ maañ girai chitvai vaahī or
prem to aisa kijiye jaise chand chakor
ghinch TuTi bhuin man girai chitwai wahi or
dhartī ambar jāyañgaiñ binsaiñge kailas
ekmek hoi jāyañgaiñ tab kahāñ rahaiñge daas
dharti ambar jayangain binsainge kailas
ekmek hoi jayangain tab kahan rahainge das
prīti jo laagī ghuli ga.i paiThi ga.ī man maahi
rome rome piu piu krai mukh kī sirdhā nāhiñ
priti jo lagi ghuli gai paiThi gai man mahi
rome rome piu piu krai mukh ki sirdha nahin
aayā prem kahāñ gayā dekhā thā sab koy
chhin rovai chhin meñ hañsai so to prem na hoai
aaya prem kahan gaya dekha tha sab koy
chhin rowai chhin mein hansai so to prem na hoai
merā man to tujh se terā man kahuñ aur
kah kabīr kaise banai ek chitt dui Thaur
mera man to tujh se tera man kahun aur
kah kabir kaise banai ek chitt dui Thaur
so din kaisā goygā gurū gaheñge bāñhi
apnā kari baiThāvahīñ charan kañval kī chhāñhi
so din kaisa goyga guru gahenge banhi
apna kari baiThawahin charan kanwal ki chhanhi
sādhun ke satsañg teñ tharhar kāñpai deñh
kabhuñ bhaav kubhāv teñ mat miT jaai saneh
sadhun ke satsang ten tharhar kanpai denh
kabhun bhaw kubhaw ten mat miT jai saneh
sabai rasāyan maiñ kiyā prem samān na koy
rati ik tan meñ sancharai sab tan kanchan hoai
sabai rasayan main kiya prem saman na koy
rati ek tan mein sancharai sab tan kanchan hoai
'kabīr' pyāla prem kā antar liyā lagāy
rome rome meñ rami rahā aur amal bayā khaay
'kabir' pyala prem ka antar liya lagay
rome rome mein rami raha aur amal baya khay
anrāte sukh sovnā raate niiñd na aay
jayo jal TuuTe māchhrī talfat rain bihāy
anraate sukh sowna raate nind na aay
jayo jal TuTe machhri talfat rain bihay
jab lagi marne se jarai tab lagi prem nāhiñ
baḌī duur hai prem ghar smujhi lehu man māhiñ
jab lagi marne se jarai tab lagi prem nahin
baDi dur hai prem ghar smujhi lehu man mahin
'kabīr' jantar na baaj.ī TuuTi gayā sab taar
jantar bichāra kyā krai chalā bajāvanhār
'kabir' jantar na baji TuTi gaya sab tar
jantar bichaara kya krai chala bajawanhaar
ghāThi paanī sab bharai aughaT bharai na koy
aughaT ghaaT 'kabīr' kā bharai so nirmal hoy
ghaThi pani sab bharai aughaT bharai na koy
aughaT ghaT 'kabir' ka bharai so nirmal hoy
ye jiv aayā duur teñ jaanā hai bahu duur
bich ke baase basi gayā kaal rahā sir puur
ye jiw aaya dur ten jaana hai bahu dur
bich ke base basi gaya kal raha sir pur
daas dukhī to hari dukhī aadi ant tihun kaal
palak ek meñ pargaT havai chhin meñ krai nihāl
das dukhi to hari dukhi aadi ant tihun kal
palak ek mein pargaT hawai chhin mein krai nihaal
jab lag kathnī ham kathī duur rahā jagdīs
lav laagī kal nā parai ab bolat na hadīs
jab lag kathni hum kathi dur raha jagdis
law lagi kal na parai ab bolat na hadis
sab aay us ek meñ Daar paat phal phuul
ab kaho pāchhe kyā rahā gahi pakḌā jab muul
sab aay us ek mein Dar pat phal phul
ab kaho pachhe kya raha gahi pakDa jab mul
añkhiyan to jhāñīñ parī panth nihār nihār
jibhyā to chhālā parā naam pukār pukār
ankhiyan to jhanin pari panth nihaar nihaar
jibhya to chhaala para nam pukar pukar
mariye to mari jā.iye chuTi parai janjār
aisā marnā ko marai din meñ sau sau baar
mariye to mari jaiye chuTi parai janjar
aisa marna ko marai din mein sau sau bar
prem bhaav ik chāhiye bhesh anek banāy
bhāve girah meñ baas kar bhāve ban meñ jaai
prem bhaw ek chahiye bhesh anek banay
bhawe girah mein bas kar bhawe ban mein jai
sab kachhu gurū ke paas hai pa.iye apne bhaag
sevak man se pyaar hai nisu din charnan laag
sab kachhu guru ke pas hai paiye apne bhag
sewak man se pyar hai nisu din charnan lag
uttam priti so jāniye satgurū se jo hoai
gunvantā au darbay kī priti krai sab koy
uttam priti so jaaniye satguru se jo hoai
gunwanta au darbay ki priti krai sab koy
dekhat dekhat din gayā nis bhī dekhat jaai
birahin piya pāvai nahīñ bekal jiai ghabrā.e
dekhat dekhat din gaya nis bhi dekhat jai
birahin piya pawai nahin bekal jiai ghabrae
ptabarta bibhichārinī ek mandir meñ baas
vah rañg-rātī piiv ke ye ghar ghar phirai udaas
ptabarta bibhichaarini ek mandir mein bas
wah rang-raati piw ke ye ghar ghar phirai udas
piiyā jāhai prem ras rākhā chāhai maan
ek myaan meñ do khaḌag dekhā sunā na kaan
piya jahai prem ras rakha chahai man
ek myan mein do khaDag dekha suna na kan
lab laagī tab jāniye chūTi kabhūñ nahi jaay
jīvat lav laagī rahai muue tahñhi samā.ae
lab lagi tab jaaniye chuTi kabhun nahi jay
jiwat law lagi rahai mue tahnhi samaae
jā ghaT prem na sancharai so ghaT jaanu samān
jaise khaal lohār kī saañs let bin parān
ja ghaT prem na sancharai so ghaT jaanu saman
jaise khaal lohaar ki sans let bin paran
'kabīr' rekh sindur arū kājar diyā na jaai
nainan pirītam rami rahā duujā kahāñ samā.ae
'kabir' rekh sindur aru kajar diya na jai
nainan piritam rami raha duja kahan samaae
bin pāñvan kī raah hai bin bastī kā des
binā pinD kā purūsh hai kahae 'kabīr' sañdes
bin panwan ki rah hai bin basti ka des
bina pinD ka purush hai kahae 'kabir' sandes
hirde bhītar dav balaiñ dhuāñ na pargaT hoai
jā ke laagī so lakhai kī jin laa.ī soai
hirde bhitar daw balain dhuan na pargaT hoai
ja ke lagi so lakhai ki jin lai soai
prem prem sab koi kahae prem na chīnahai koy
aaTh pahar bhīnā rahai prem kahāvai soye
prem prem sab koi kahae prem na chinahai koy
aaTh pahar bhina rahai prem kahawai soye
jahāñ prem tahñ nem nahi tahāñ na budhi bayauhār
prem magan jab man bhyā tab kaun ginai tithi baar
jahan prem tahn nem nahi tahan na budhi bayauhaar
prem magan jab man bhya tab kaun ginai tithi bar
sur nar thāke muni janā thāke bisnu mahes
tahāñ 'kabīrā' chaḌhi gayā sat-gurū ke updes
sur nar thake muni jana thake bisnu mahes
tahan 'kabira' chaDhi gaya sat-guru ke updes
jo ye ekai jāniyā tau jānau sab jaan
jo ye ek na jāniyā tau sabhī jaan ajaan
jo ye ekai jaaniya tau jaanau sab jaan
jo ye ek na jaaniya tau sabhi jaan ajaan
prem bhakti kā geh hai ūñchā bahut ikant
siis kaaTī pag tar dharai tab pahuñchai ghar sant
prem bhakti ka geh hai uncha bahut ikant
sis kaTi pag tar dharai tab pahunchai ghar sant
prem piyāre laal soñ man de kījai bhaav
satgurū ke parsād se bhalā banā hai daav
prem piyare lal son man de kijai bhaw
satguru ke parsad se bhala bana hai daw
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere