basant aayaa hu.aa aa.ii basantii
basant aayaa hu.aa aa.ii basantii
ghaTaa chaaro.n taraf chhaa.ii basantii
kahii.n ge.ndaa kahii.n sarso.n khilii hai
chaman me.n bhii bahaar aa.ii basantii
liye gul haath me.n ge.nde ke sab ne
ye ra.ngat aisii man bhaa.ii basantii
hasiino.n kaa bhii hai malbuus piilaa
adaa goyaa ki ban aa.ii basantii
laTo.n me.n guu.ndh kar ge.nde ke Gunche
kisii ne zulf bikhraa.ii basantii
dar-e-shaah-e-niyaaz-e-baa-safaa par
bahaar aa.ii bahaar aa.ii basantii
chalo ai 'raaz' vo ra.ngte hai.n sab ko
ghaTaa dekho vo lahraa.ii basantii
basant aayaa hu.aa aa.ii basantii
ghaTaa chaaro.n taraf chhaa.ii basantii
kahii.n ge.ndaa kahii.n sarso.n khilii hai
chaman me.n bhii bahaar aa.ii basantii
liye gul haath me.n ge.nde ke sab ne
ye ra.ngat aisii man bhaa.ii basantii
hasiino.n kaa bhii hai malbuus piilaa
adaa goyaa ki ban aa.ii basantii
laTo.n me.n guu.ndh kar ge.nde ke Gunche
kisii ne zulf bikhraa.ii basantii
dar-e-shaah-e-niyaaz-e-baa-safaa par
bahaar aa.ii bahaar aa.ii basantii
chalo ai 'raaz' vo ra.ngte hai.n sab ko
ghaTaa dekho vo lahraa.ii basantii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.