faiz jis kaa hai ye jaarii usii kii chaadar hai

ham sabhii jis ke pujaarii usii kii chaadar hai
kaun hai aisaa zamaane me.n dikhaa.o to sahii
sab me.n suurat hai jo pyaarii usii kii chaadar
aasmaa.n chaa.nd sitaare ye nazaare duniyaa
jis ke sadqe banii saarii usii kii chaadar hai
ek mai.n hii nahii.n vallaah zamaana dekho
jaano dil jis pe hai vaarii usii kii chaadar hai
dil miraa diin miraa jaan mirii iimaa.n bhii
hai sabhii kuchh jahaa.n haarii usii kii chaadar hai
lok parlok kaa maalik jo banaa hai 'aamir'
hai.n sabhii jis ke abhaarii usii kii chaadar hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.