‘ajab salle-'alaa gauhar-fishaa.n phuulo.n kii chaadar hai

pasand-e-ḳhaatir-e-ahl-e-jahaa.n phuulo.n kii chaadar hai
cha.Dhaane ke liye qabr-e-janaab-e-suufii saaheb par
bahishtii daa.ire se ab ravaa.n phuulo.n kii chaadar hai
munavvar ho rahaa hai nuur-e-haq se har galii-kuucha
misaal-e-mehr-e-anvaar zau-fishaa.n phuulo.n kii chaadar hai
bahaar abr-e-karam dikhlaa rahaa hai jhuum kar apnii
ho muzhda ahl-e-dii.n rahmat-nishaa.n phuulo.n kii chaadar hai
gu.ndhii hai.n aisii kaliyaa.n KHush-numaa-o-jaa.n-fazaa is me.n
ki farhat-baKHsh qalb-e-naa-tavaa.n phuulo.n kii chaadar hai
fazaa-e-baaG-e-jannat dekhte hai.n umagne vaale
kahaa.n se ye bahaar aisii kahaa.n phuulo.n kii chaadar hai
jo likhaa hai 'tajammul' kilk-e-gauhar-baar se ham ne
shagufta ho ke kaisii durafshaa.n phuulo.n kii chaadar hai

- Book : Riyaz-e-Sufi (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.